Question: kaya wasilay say dua mangana jaiz hai aur q hai
Answer: 1)Nabi(s.a.w.w) aur imam(a.s.) ka wasila bana kar dua karnay se dua qabool honay k qareeb ho jati hai. (ref : website http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1346). 2)Wasila ka zikr quran mai bhi surah e maida surah # 5 ki ayat # 35 mai hua hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mari choti bhan aj sham 6 bjy sy lapata hy? sb dhund lia hy? koi wazifa bta den k jis sy wo mil jy? please urgent???? name hifza age 3 sal rehaish korangi 3
Answer: Ameer ul momineen a.s ka irshad hai k gumshuda k lie surah noor surah # 24 ki ayat # 40 ki kasrat sai tilawat krnay sai gunshuda chand dino k ander mil jae ga. (Ref : Naway e Salaheen pg # 357)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: SLAMUNALYKUM MERE LOVE MARRIAGE HUE 26 MARCH 2012.MERE HUSBAND POLICE DEPARTMENT M HAI OR MUJHSE DUR REHTE H VO BAT B BAT MUJHSE JHGDTE H MAI Y CHAHATI HU K VO MUJHSE HEMSHA KUSH RHE PLZ KOI WAZIFA BAYAIN?
Answer: Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se danoo me be’misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salaam. Please explain , Surah e yaseen ( mobeen ) amal . How to do ?? Allah Hafiz.
Answer: Wssalam o alykum, sura e Yaseen ko ibtida se pharna shuroo karain, jab 1st mubeen tak ponhche to 41 martaba darj zeel ayaat main se ik apne maqsad ki ayat phar kar dua maangain, phir doosre din phir shuru se Sura e Yaseen ko aowalse pharye yahan tak ke 2nd mubeen tak ponhach jaain to 41 us hi ayat ko phar ke dua maangain jis ko 1 din phara tha, or jab Sura e Yaseen main 7 martaba lafz e mobeen aaya hai to 7 rooz tak ye hi amal karain. 41 martaba pharne wali ayaat : 1
Question: Mara beta 13 sal ka ha woh din ba din galt harkatoon ma par raha ha mujah or apne behan, bhai ko galien data ha koe kehna nh manta us par jase shatan ah gaya ha please koe due batain jo mara betey jis ka name Muhammad Qasim ha ak acha insan ban jae.
Answer: Jo bacha zaban daraz ho aur tandmizaj ho to surah e nissa surah # 4 ki ayat # 148 ko likh kar os bachay ko pila dain to wo bacha ba-akhlaq ho jae ga. (Ref : Naway e Salaheen pg # 346)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: sir mugy dostia karny ka bra shok ha plz mugy koi asa wazafa btay k mery sub dost mery izat kary or mery new new bhot dost ban jay
Answer: Izzat o buzargi k lie ayatul kursi 3 martaba parh kar hathoon par dam kar k chehray par mal lain. (Ref : Payam E Shifa pg # 253)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: logo ko apna dost bnanay k liya kia parhana (wazafa) ho ga k har ak ap ka dost ban jay
Answer: Agar koi shakhs kisi ko dost banana chahta ho to surah e namal surah # 27 ki nichay di hui ayat ko khanay par dam karay aur osay khelay . ayat “ ﺍﻦﻻﺘﻌﻟﻮﺍﻋﻠﻰﻭﺍﺘﻮﻨﻰﻤﺴﻟﻤﻴﻦﻭﻟﻭﻻﺍﻦﺮﺒﻂﻨﺎﻋﻟﻰﻗﻟﺒﻬﺎﻟﺘﻜﻭﻦﻤﻦﺍﻟﻤﻭﻤﻨﻴﻦ ” (Ref : Payam E Shifa pg # 257)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: salam mara naam agha zohaib hai mara masela hai k ma jo bhi kam krta ho wo hota he nae aur har kam ma nakam hota ho aur taleem ma bohat zada nakam ho bohat he parashan ho kuch batay
Answer: Kis bhi kaam ko shru krnay sai pehlay agar khuda ka nam ﺍﻠﻤﺒﺪﻯ parhay to wo kaam apnay anjam ko pounchay ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 31-2)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam qari sahaB,sir mujhe k0i aisa wazifa bta dE jis se mera dil aur dimagh stdy ko kahe..plz
Answer: Agar dil ilm k hosool mai na lagta ho to surah e alaq ki 1 ta 5 ayaat ko likh kar galay mai dal lain, mujrab hai. (Ref : Naway e Salaheen pg # 346)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Sir mera naam muzammil hai mera koi b kaam pura nai hota mai jo b study ya course karta hu to koi na koi musibat ati h matlab kabi bimar padta hu to kabi accident hota h. Aur sbse jyada to muje nazar lagti hai har baat par.
Answer: Imam raza a.s. irshad farmatay hain k kisi bhi kaam ko start karnay sai pehlay Khuda ka nam “ ﺍﻠﻤﺒﺪﺉ ” parhay to wo kaam apnay anjam ko pouchay ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 31-32)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).