Question: Mera sawal hai agar kisi insan k jenay ka koi maqsad na ho wo jeena na chahta ho laiken Allah sey pyaar b ho toh wo apnay marnay ke dua maang sakta hai ?
Answer: insaan k lie marne ki dua kana makroh hai (yani accha nahi hai) chahy insaan shadeed mushkelaat me kyu na ho.(Or khud kushi krna haram hai)(ref: Urwat-ul-wusqa, aqa sistani ,jild no:1, topic : fasal fi hokumi karahtil mout) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Asalamalikum!! mujhe plz koi mohabat bharane k liye koi wazifa bata dein plz
Answer: Agar kisi khandan me kisi wajh se na it’te’faqi paida ho gay ho to Apas me ittefaq paida karnay k lie har namaz k bad rozana 11 martaba surah e infal ayat # 63 (wa al’la’fa baina. . . . . . . .. . hakeem)ko parhay. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 366) 2)Kisi 2 fard k darmian sulah karanay k lie surah e maraij ko 80 bar parhe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: aksar wazaif mn likha hota hy k falan ayt ya sora likh kr pia jay.plz is ka triqa bta dn kia is ka matlab kaghaz par likhna hy or bhr us kaghaz ko pani mn bhigo kr peena hy
Answer: Agar kisi wazifay mai ye likha hua ho k likh kar pina hai to is ka matlab hai k aik caghaz par os ayat ko likh kar os par pani dalain jaisay kisi cheez ko dhonay k lie pani daltay hain laikin os k nichay koi bowl rakhain ta k wo pani os bowl mai giray . phir os pani ko istemal kia jae. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Sir mera ID Card Ka Masla Bana hua hai 6 Month ho gaye hain mai bohat pareshan hn jis ki waja se muje nokri b nahi mill rahi hai aur gher k hallat aahista ahista khrab ho rahe hain plz koi wazif batana plz
Answer: Surah e yaseen ayat # 40 ko 7 baar parhain inshaAllah masla hal hojaega. (Ref : book payam e shifa pg # 249)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Allah ki taraf dil kaise mutawajja hoga
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Sotay waqt apnay senay par hath rkh kr ism-e-azam “ya mumeeto” parh k soein tou nafs apka farma-bardar hoga aur nekion ki tarf barhainge inshaAllah.(Ref : book nawae saleheen pa#335) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mujhe koi aesa solution btaein k mein fajr ki namaz ba qaida se parh sakun?
Answer: Raat ko sonay se pehlay surah e annam surah # 6 ayat # 61 parh k soen InshaAllah ankh khul jaegi. (Ref : dunia-o-akhirat ki 100 pareshanio ka hal)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: mera first baby hona hai aur mai pregnant hn 5th month chal rha hai mai chati hn k olad e narina ho lekin dc ny scan kr k bta diya hai k larki hai koi aesa wazifa btayen k jis sy ye larka ho jaye
Answer: Jab aap ko yaqeen ho gea hai k larki hai to phir koi tareeqa nahi hai k wo larkay mai tabdeel ho jae han ye aap shoroo mai kar sakti thi k jab hamal tehrta to kuch wazifay parh kar ye karna mimkin tha. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalamu alikum. Sir mere ghar ko bechna hai par mere ghar ka wajib dam nahe mil raha hai kuch aise duwa batae Jo padne se mere ghar ka aacha dam mile
Answer: Agar koi khareed o farokth krtay waqt 3 bar surah e alam nashrah surah # 94 parh li jae to is mai zaroor faida ho ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 21)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: asalam o alikum sir mera question yah ha kah mara sara waqat sirf larkiyon ka bary ma sochty guzar jata ha or namaz parhny ko dil karta ha magar parh nahi pata hon plz koi asa wazifa btaan jis sa mara dhayan sirf allah ki taraf lag jay
Answer: Jo shakhs namaz sai gafil rehta ho wo 7 bar surah e mominoon surah # 23 ki tilawat karay to wo namazain parhnay lagay ga. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 05)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Koi agar ghar say bhag jay to us ko wapas bulanay Kay liay koi ayat ya dua
Answer: 1)Agar kisi khandan me kisi wajh se na it’te’faqi paida ho gay ho to Apas me ittefaq paida karnay k lie har namaz k bad rozana 11 martaba surah e infal ayat # 63 (wa al’la’fa baina. . . . . . . .. . hakeem)ko parhay. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 366) 2)Kisi 2 fard k darmian sulah karanay k lie surah e maraij ko 80 bar parhe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).