Question: Agr wazifa start Kia ho or galat ho jae Pura Hona SA phly Tu dobra start Kar Sakta ha
Answer: Jee, dobara anjam daina jiaz hay. [Updated on 17-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Peshab band hone ki kia waja h
Answer: Paisahb band hone ki bohot si wujohaat ho sakti hain. aap doctor se raabta karain. [Updated on 16-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I have urine problem,means peeshab krny k bad,peeshab k 2 sy 3 drops chlty prhty nikal k kapron py lg jaty hyn,is conditions Myn namaz ksy prhyn gyn
Answer: 1: Agar koi aise marz me mubtela ho k ise peshaab k qatre ghairte rehte ho to Agar use ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakai to zaroori hay kay is waqfay kay doraan namaz parh laiy aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. Agar us ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hota ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahin hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306,307,311) 2: Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: اسلام علیکم Sir meri ami bht bemar rehti ha full body test b karwye ha test bilkul thk aye hai Lakin tbiyt thk nhi huwi hum bht tension me ha plz kuch bta dyn
Answer: Ayatullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak sorah e alam nashrah ko aik baar subah or aik baar sham main tilawat kar liya jaey tu huzn o gham zaael hojatey hain.(Ref: Donya o akhirat ki 100 preshaniyo ka hal). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai har amal kar chuki hon khch smgh nae ata koi dua qubool hony ka naam nae laiti ab buhat thak hon mai shehzadi fatima zahra as say tawussul karna chahti hon kesy karo plz koi mujjarib amal bataye ga
Answer: Dua e tawwsul perh ker dua karain, insha Allah aap ki dua qobool ho jaye gi. (Ref: Naeemul amaal, page #40) Allama majlisi ne farmaya he k baaz moatabar kitabon me muhammad bin babwiya se naqal kiya gaya he k unhone is dua-e-tawssul ko aemma(a.s) se riwayat ki he aur unhone kaha k is ko mene kisi maamale me nahin padha magar us ki qabooliyyat ka asar bahot jald paya. ( Ref: https://urdu.duas.org/imammahdi/dua-tawasal.htm ). [Updated on 21-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Meri age 24 years ha.Mera sawal ye ha k mjhe nafs main kamzori feel hoty ha or rat sotay sotay khud se release ho jata koe hal btayen if anyone know !
Answer: 1: dar cheeni ko achi terah bareek pees kar rakh lain aur subah aur sham neem garam doodh k sath 2 masha (aik chutki) istemal karain inshallah behtreen ilaj hai. (Ref : apna dawakhana pg # 35) 2: Homeopathic store se mektum T-10 le kar is ke under di gaae malomaat ke mutabiq istemaal karain.(Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir meri shadi ko 4 years ho gy in 4 years m 2 dfa preganancy howe but dono dfa miscarriage ho gya abi dnc howey 6 month howy hain bhi dobara try m hai k allah good news day but abi pregnancy nhi ho rahi h
Answer: 1: Surah e tariq(sorah #86) ki ayat #1 se 7 tak ko likhain or is se pehlay bismillaahir rahmaanir raheem likh ker kamar main baandh lain tu bacha saqit nahin hoga or sahi o salim paida hoga. (Ref: Nawaay saliheen, pg #344). 2: Surah e bayyanah(sorah #98) ko likh ker paani se dhoya jaay or is paani ko hamilah aurat piye tu oska hamal saqit nahin hoga or tamaam aafaton se mehfooz rahay ga. [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: chehre se pimple nisan kese htae chehra noorani kese kre
Answer: 1: Chehray(face) par chhaieo ki jigah ungli phairtay hoye surah shura surah #26 ki ayat #72 aur #73 ko 3 martaba parhay to chand dinoo mai chehra nikhar kar saaf o shaffaf ho jaye ga. (Ref: Naway e Saleheen, pg #328) 2: Mooli k patto ka rus laganay se keel, mohasay(pimples) 1 haftay main khatam ho jatay hain. 3- Naraggi ka chilka ragarhne se keel mohasay(pimples) mit jatay hain. (Ref: Ilaaj ke asaan gharelo nuskhay, pg #13). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: asalam walyqum . mery shohr ne mujy maiky behta dya hai or koi rabta bbi nae kra plz koi wazifa batay k shohr rabta kry or mujy izat se lekr jay in shaa Allah
Answer: Miyan biwi ki ek dusray se mohabbat o ulfat k liye har namaz ke bad surah e mumtahina ki ayat #7 ko 7 martaba parha karen. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jaey gi. (Ref: Kitab Naway-e- salaheen, pg #404). [Updated on 11-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mai apni ammi k liye dua karna h unki tabiyat kharab h hospital mey h koi dua Bata do mai karna chahta hu
Answer: Imam Jafer Sadiq(A.S) say riwayat hay k insaan ki har bimari door ho sakti hay agar wo namaz e fajr k baad 40 martabah sorah Al-Hamd ki tilawat karay or har Al-Hamd k baad ye parhay: o ﻭ ﻻ ﺤﻭﻝ ﻭ ﻻ ﻗﻭﺓ ﺍﻻ ﺒﺍﻟﻟﻪ ﺍﻟﻌﻟﻰ ﺍﻟﻌﻅﻴﻢ o ﺘﺒﺍﺮﻚ ﺍﻟﻟﻪ ﺍﺤﺳﻦ ﺍﻟﺧﺍﻟﻘﻴﻦ o حسبنا ﺍﻟﻟﻪ ﻮ نعم ﺍﻟﻮﻜﻴﻞ (Hasbonal Laaho wa nimal wakeel. 0 Tabaarakal laaho ahsanol khaliqeen. walaa Haula walaa qoowata illaa billaahil aleeyil azeem.). Or bimaari ya dard ki jagah par apna haath phair lay tu wo sahi ho jaay ga or Khuda os ko shifaa day ga. (Ref: Mehjud dawaat, Pg #77. or Baaqiyaa tus Salihaat, Pg #205). Ahadees main aaya hay k sorah e Al-Hamd main har marz ki dawa hay. Mazeed ye k dua e tawasul parh kar 14 masomeen ko wasilah bana kar Allah say is marz k khaatm honay ki dua ki jaay. Q ke asl shifaa tu wohi daita hay.Inshaallah jald is merz say nijaat milay gi. [Updated on 20-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]