Question: agr daily drop ay auy namaz bhe parhni ho to kya solution ha
Answer: Agar koi aise marz me mubtela ho k ise peshaab k qatre ghirte rehte hon to Agar use ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak us ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar us ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. Agar us ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) . [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam wo pochna ya tha k mera koi kam sai sa pura nai hota chotay sa chota he q na hoo mjha koi vazifa bta dain
Answer: Dua e tawassul perh kar or sadqa day kar dua karain insha Allah maslah hal hoaey ga.(Ref: https://www.duas.org/tawassul.htm) [Updated on 01-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaykum Men 6 months pregnant ho aur anamoly scan se pata chala k bachay k paon club foot/terrray hain Koi wazaif ya hal ha??
Answer: -Sorah e bayyanah (sorah # 98) ko likh ker paani se dhoya jaay or is paani ko hamilah aurat piaye tu oska hamal saqit nahi hoga or tamaam aafato se mehfooz rahay ga.(Ref: tohfatul awaam, pg#275). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 8th month pregnancy ka hai normal delivery ke liye asan so Dua bataye
Answer: Pregnancy ki dua: Aurat per is dua (yaa khaaliqan nafsi mi’nan nafsi wa mu’khal’li’san nafsi mi’nan nafsi khal’lis’ho bi’haou’li’ka wa qow’wa’tik)ko parhain tu os per wiladat asaan ho gi.(Ref:makhzan e amaliyaat,pg#131 ) [Updated on 29-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Apna ghar banane ki dua
Answer: Agar koi apna zati ghar karna chahta ho to is durood sharif ko jume ke din namaz e asar ke baad aik hazar (1000) martaba parh kar Allaha Tallaha se dua karay to wo apne lotf o karam se zaati ghar ka intezam kar day ga aur rayhaish k silsile me wo kabhi bhi muhthaj nahi ho ga. Darood sharif ye he Allah humma salle ala mohammadin nabi yil ummi wa ala aal e MuhammadÂ(اللھم صل علی Ù…Øمد النبی الامی Ùˆ علی آل Ù…Øمد) .(Ref : kitab naeem ul aamal pg #347) [Updated on 14-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam! Sir can u plz tell me any Quranic wazifa for increasing breast ..i m really worried
Answer: Chati ko berhane k liay is link per click kara k bayan kardah tariqo per amal karain. http://danisnama.blogspot.com/2019/10/blog-post_53.html. [Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ma bohot dua ki Allha se ki ak insan ya fir ak peresan karne wali insanse moje ya phr meri mia ko jan chora de. Or is ke liye mene bohot duaeki par meri dua kabool nehi hoo rahi ab moje kia karna chaye
Answer: Dua e tawwsul perh ker dua karain, inshallah aap ki dua qobool ho jaey gi. (Ref: Naemul amaal, pg#40) [Updated on 27-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alaikum agha..mera sawal hai k mujhe acne ki problem hai aur mere face aur jism k hiso mein acne nikalti hai aur un se blood bhi nikalta hai.blood namaz padte hue bhi nikal jata hai kia aisi halat mein namaz hosakti hai?
Answer: 1- Hazrat imam jaffer sadiq a.s. se manqool he k jin pimples se pani ya peep niklne lagay to goya is ka pehla asar zail ho gya is lie shahadat ki unguli un k gird pherta rehay aur 7 bar ye parhey (LAA ILLAAHA IL’LAL’LAHUL HALEE MUL KAREEM) aur unguli ko wahan zoor se dabein take wo hat jay. (Ref : kitab makhzane amaliat pg #31). 2-Moli k patto ka rus laganay se keel mohasay(pimples) 1 haftay main khatam ho jatay hain. 3- Naraggi ka chilka ragarhne se keel mohasay(pimples) mit jatay hain. 4- Kachay papitay (papaya)ko kaatnay se jo dhoodh, numa maya(liquid) nikalta hay, usay roozana keel mohasay(pimples) per laganay se chuch dino main khatam ho jatay hain(Ref: Ilaaj k asaan gharolo nuskhay, pg#13). 5- Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mujhe Bukhar bar bar hojata he ap batain men kiya kron ab tak 4 dafa ho chuka he Bukhar
Answer: 1)Surah e ambia ki ayat # 69, 70 ko pani par 41 bar parh kar pi lain, bukhar k lye mujib e shifa hay. (Ref : Naway e salaheen pg # 313) 2)Hazrat Rasool e (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) S.A.W.W. k irshad hay k : Bimar apna ilaj sadqa dainay say karay. (Ref : Naway e salaheen pg # 309) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) [Updated on 04-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir mujhe Bukhar bar bar hojata he ap batain men kiya kron ab tak 4 dafa ho chuka he Bukhar
Answer: 1)Surah e ambia ki ayat # 69, 70 ko pani par 41 bar parh kar pi lain, bukhar k lye mujib e shifa hay. (Ref : Naway e salaheen pg # 313) 2)Hazrat Rasool e (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) S.A.W.W. k irshad hay k : Bimar apna ilaj sadqa dainay say karay. (Ref : Naway e salaheen pg # 309) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) [Updated on 04-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]