Question: Meri sauteli maa mujhse Mohabbat nahin karti ham Kya Karen ki vah humse Mohabbat Karne Lage.
Answer: 1: Kisi bhi jaiz muhabbat ke liay 213 martaba 'Ya lateefo, Ya wadoodo' parhay. (Ref: Naeem ul amaal, pg #311). 2: Jo bhi jaiz mohabbat hasil karna chate hain to wo surah e maaida, ayat #54, ko kisi meethi cheez (maslan mithaai) par par 100 martaba dam kar ke kehlain. (Ref: Tajalliyaat e quraan, pg #41). [Updated on 06-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mara sawal ha ka quran pak ma.kia ya zik ha ka asman pr barf ke phar ha or agr zekr ha to kon c kon sa para kon c sorat ma ha
Answer: Jee han, is ka zikr Surah e Al-Noor (surah #24) ki ayat #43, me tazkira aaya hai, Irshaad hota hai ke: 'Kya aap nahin dekhte ke Allah hi baadalon ko chalata hai phir usay baahum jor deta hai phir usay teh bah teh kar deta hai? phir aap barish ke qatron ko dekhte hain ke baadal ke darmiyan se nikal rahay hain aur aasman se paharon (jaisay baadalon) se olay naazil karta hai phir jis par chahta hai usay barsa deta hai aur jis se chahta hai usay hata deta hai, qareeb hai ke is ki bijli ki chamak nigahon ko khatam kar day'. https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=24&ano=43 [Updated on 07-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mara sawal ha ka quran pak ma.kia ya zik ha ka asman pr barf ke phar ha or agr zekr ha to kon c kon sa para kon c sorat ma ha
Answer: Jee han, is ka zikr Surah e Al-Noor (surah #24) ki ayat #43, me tazkira aaya hai, Irshaad hota hai ke: 'Kya aap nahin dekhte ke Allah hi baadalon ko chalata hai phir usay baahum jor deta hai phir usay teh bah teh kar deta hai? phir aap barish ke qatron ko dekhte hain ke baadal ke darmiyan se nikal rahay hain aur aasman se paharon (jaisay baadalon) se olay naazil karta hai phir jis par chahta hai usay barsa deta hai aur jis se chahta hai usay hata deta hai, qareeb hai ke is ki bijli ki chamak nigahon ko khatam kar day'. (Ref: Link https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=24&ano=43 ). [Updated on 07-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum Mere Chest (seene) pr Keloid ban rahe hain plz koy wafiza bataen.
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 07-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mere jisam ma jaga dard hoti ha kabi left chest ma kabi right mai kabi peache hoti ha.
Answer: 1: 70 Baar Surah-e-Hamd ka Parhna har Qisam ke Dard ke liye Shifa hai balkay har Bimari ke liye Shifa hai. (Ref: Payam-e-Shifa Page #189) 2: Har dard ke liye maqaam e dard par haath rakh kar surah e bani Israil ki ayat #105 ko 3 baar dam kar lain. 3: Surah e Bani Israil ki ayat #105 ko likh kar apnay paas rakhnay say har qism ke dard say nijaat mil jaye gi. (Ref: Nawaey Saliheen, pg #317). Advice: Is maamlay main doctor hazraat se rujoo kiya jaye. [Updated on 07-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nafs py dany nikly h jn m sy kil niklty h r nafs terha b hy r money ptli h please koi hal bta dy
Answer: 1: Hazrat Rasool(S.A.W.W) ke irshad hai ke: Beemar apna ilaj sadqa dainay say karay. 2: Har qism ki beemari se shifa ke liye agar mareez ke kaan main surah e mominoon surah #23 ayat #115 to 118 parhi jaye to Har qisam ki beemari khatam ho jayegi. (Ref: Naway e saleheen, pg #309. + book payam-e-shifa, pg #214). [Updated on 09-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalam o alaikum mri bati ki nzr kmzor hy usk liye bht preshan hn usy rat mn nzr ni ata or is bemari ka ilaj b ni hy plz mjy koi qurani hal btaen k uski ankhun ka noor waps ajay
Answer: 1: Agar koi surah qaaf ki ayat #21 or 22 ko subah ke waqt aise aadmi ki aankhon par parhe jis ki aankhon main koi takleef ya bemaari ho ya roshni kam ho to in ayaat e qurani ki barkat se saari takaleef door ho jaingi. (Ref: Naeem ul aamal, page #318). 2: Surah takweer ko parh kar aakhon par phunka jaaye to basaarat ziyaada ho jaati hai. (Ref: Tajalliyaat e quran, Mafhoom e pg #129). [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam mri bati ko andhry mn ya km light mn dkhae ni dta idka ilaj b ni hy ap plz mjy koi dua btaen koi amal koi wazeefa js sy uski nzr bacha skun mn
Answer: 1: Agar koi surah qaaf ki ayat #21 or 22 ko subah ke waqt aise aadmi ki aankhon par parhe jis ki aankhon main koi takleef ya bemaari ho ya roshni kam ho to in ayaat e qurani ki barkat se saari takaleef door ho jaingi. (Ref: Naeem ul aamal pg #318). 2: Surah takweer ko parh kar aakhon par phunka jaaye to basaarat ziyaada ho jaati hai. (Ref: Tajaliyaat quran, Mafhoom e pg#129). [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: A.a .. sir mera 1.5 Saal ka beta h. Wo hr wqt rota rehta h ..or mere ilawa ksi k pas ni jata . Khelyga to mere samny hi jese hi main nzr na aun rota rehta h musalsal.. plz kch btynn k wo sb k sth rahay ..
Answer: Agar Sorah e ghashiya bache par parhi jaye to nah dare ga or nah roye ga. (Ref: Payaam e shifa, page #288) [Updated on 19-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalm o alaikum...Mera question ye h KY aksar Mera dill gabranay lag jata ha jaisay Kuch glt honay wala r behavior b sabka thora chnge lgny lg jata specially mama ka r me ronay lg jate roe jate me Kya krun
Answer: 1: Waswason ko dafa o door karne liye Hazrat imam Ali Riza a.s se mervi riwayat k mutabiq zawaal e aaftaab ke waqt 150 baar yaa quddooso ka wird karne se dil ko noorani ho jata hay or is wird ki wajah se shaitaani waswason se aman mil jaati hay. 2: Tabarsi farmate hain keh ghabrahat ke liye 17 martabah sorah alam nashrah ki tilawat ki jaey or do baar ye amal dohraya jaey, aik subah or doosri baar asr ke waqt. 3: Pareshani doori hone ka wazifa: Har qism ki pareshani ka liya surah e Mubarak e Anaam ayat #17,18 ko fajr say pehlay likh kar apna pas rakhain. Inshallaha faida ho ga. Ayat (وَ اِنۡ یَّمۡسَسۡکَ اللّٰہُ بِضُرٍّ فَلَا کَاشِفَ لَہٗۤ اِلَّا ھُوَ ؕ وَ اِنۡ یَّمۡسَسۡکَ بِخَیۡرٍ فَھُوَ عَلٰی کُلِّ شَیۡءٍ قَدِیۡرٌ، وَ ھُوَ الۡقَاھِرُ فَوۡقَ عِبَادِہٖ ؕ وَ ھُوَ الۡحَکِیۡمُ الۡخَبِیۡرُ). (Ref: Dunya or akhirat ki 100 pareshaniyon ka hal, pg #20. + Mafati jinah pg# 208. + Khasaes ul Quran, pg #86. Kitab Payam e shifa, Pg #189,221,232). [Updated on 21-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]