Question: YA MOLATHI YA FATIMA a.s. AGHASINI. Is it ok to say or not pl reply
Answer: Jee nahi ye durust nahi hay.balkeh durust ibarat ye hay: Yaa maulaatee yaa faatimato agheeseenee. { یا مولاتی یا فاطمة اغیثینی } (Ref: naeemul amaal, pg#106, nawaay saliheen, pg#187). Note: hum ne jis jagah “aa” or “ee” istemaal kia hay is se muraad ye hay k is se pehlay wala harf thorha sa khench ker perha jay ga.yani 2 harkato k baraber nah k zarber, zair jitna chota balkeh in se dugna(double) perha jay ga. Or maulaatee ki meem per Zaber hay nah k paish. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalamo alikum mery kuch logo ny pesy khay how hain main ny unsy busness kiya tha mgr ab wo meri payment nahi dy rahy mainn kya karon koi dua btain shukriya
Answer: 1. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). 2. Qarz ki wusooli or doobi hoe raqam k husool or deegar huqooq ki baazyabi waghaira k liay hazr or safr main muta,al,liq afraad ki tasaw,wuraati tasweer zehen main rakh ker awwal o aakhir salawaat k saath in 3 ayaat ko 41 mertaba perha Karain tu matlab pora hoga. 1:(اِنَّ اللّٰہَ فَالِقُ الۡحَبِّ وَ النَّوٰی) (sorah inaam, sorah#6, ayat#95). 2: (وَاللّٰہُ غَالِب عَلٰی اَمرِہ) (sorah yousuf, sorah#12, ayat#21) 3(وَأُفَوِّضُ أَمْرِي إِلَى اللَّهِ) (sorah mo’min, sorah#40, ayat#44). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: A/salam...agar kise ko kise cheez k liye raazi karna ho to kiya karna chcahe plz mere madad karay...
Answer: 1 Zuhar ke waqt jis jaiz maqsad k liay NAD-E-ALI ko 4 Martaba parha jaay tu wo maqsad pora ho ga.(Ref : Kitaab Wazaif Nad-e-Ali Pg # 17). 2 Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain, laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. Insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalamoalequm,hamara ghar 4 saal ho gaye nahi bik raha please koe dua bataye.
Answer: 1. Allama Majlisi (r.h.) farmatay hein k agar baad namaz e fajar tasbeeh e hazrat Fatima Zehra s.a. parh kar 100 bar ﺍﻟﺤﻤﺩﷲﺭﺏﺍﻟﻌﺎﻟﻤﻳﻦﻋﻟﻰﻛﻝﺤﺎﻝ aur phir 100 martaba dorood shareef parhain aur is doraan kisi se baat na karay to dua zaroor qabool ho gi. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 02). 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 3. Makaan bekne ke liye Sadqa dain.sadqa har musibat or aafaat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Zalim Ke Zulum Se Bachne Ki Dua. Shukriya
Answer: 1. Syed ibne Ta’oos ne naqal kia hai k Dushman k nuqsan se bachne k liay Dushman k Saamany sorah e mujaadila(sorah#58) ki ayat#21 Parhain, Dushman is se koe nuqsan na pohancha sake ga.(Ref : Kitab payam e shifa Pg # 274). 2. Aik Shaks ne Hazrat Imam Jafar a.s ki Khidmat main Arz kia baadshah mujhe azeeyat deta hai muje baadshah or is k karindoon se shakayat hai, Hazrat ne farmaya k ager es tarhan hai tu tum apne Etraaf main aik Qilla banao es ne guzarish ki, Qilla kese banaon Farmaya k jab tum ghar se bahar niklo tu 6 Simtoon main Surah Tauheed parh kar dam karo.Es tarteeb k sath pehly samane,phir seedhi taraf(right side),phir sar k peche,phir ulti taraf(left side),es k bad sar par or aakir main paon ke taraf es tarhan aik halqa ban jaye ga jo es din baadshah or shaitaan se tumhari hifazat kare ga. Note:Ye aamal Zalim Officers ya Police walon k zulm se bachne k liay bhi kia ja sakta hai.(Mualif) (Ref : Kitab payam e shifa pg # 274). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aslawalekum, surah-e-jin ki kiya fajilat hai. Ese hindi me upload kijiye. Shukriya
Answer: Surah Jin ke Fazilat 1. Hazrat Imam Jafar Sadiq a.s ka Irshaad hai k jo shaks aksar Surah Jin ki Tilawat kare ose Qaum ki Ankhon(Nazar e bad) Jadoo, Makr o faraib se koe nuqsaan na hoga Or wo Hazrat Muhammad s.a.w.w ka saathi hoga or wo kahay ga ya Allah muje is k badleh main kuch nahi chahiay. Nabi Akram (s.a.w.w) se riwayat hai k jo shaks Surah Jin Parhay ese har Jin or Shaitan, jinho ne Hazoor s.a.w.w ki tasdeeq ki ya takzeeb ki onki tadaad k barabar ghulam azaad karne ka sawab mile ga.Jo shaks es Surah ko parhe or ise dhoo kar pi le jo sune ga yaad ho jaye ga or jes k sath munazara kare ga Ghalib rahe ga.Ager maqrooz Ada,igi Qarz ki neyat se parhe tu us ka qarz aada hoga.Mahzon or Maghmoom parhe tu oska gham Khushi main badal jaay ga.Qaidi parhe Jald Qaid se reha ho jaay ga.Ye Surah jahan parhi jate hai wahan se jin baahg jate hain.Es ki Tilawat karne wala jinnaat k shar se mehfooz rehta hai.Is ki Musalsal Tilawat karne wala tangi or tangdasti se mehfooz rahe ga.jo likh kar apne pass rakeh os ka Hafiza teez hoga or munazre main ghalib rahe ga.Khazana ki Hifazat or Aada,igi e Qarz ka Zariya hai.(Fawaedul Quran) (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 83 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Surah muzammil ko hindi me upload kijiye. Shukriya
Answer: Surah Muzammil ke Fazilat 1. Sarkar Nabi Kareem s.a.w.w se Marvi hai Jis ne Surah Muzammil ko parha os ne Dunya o Aakhirat ke tangi or eshrat uhtha le jaay gi. 2. Imam Jafar Sadiq a.s ka Irshad hai k Jo Shaks es Surah ko Nemaz-e-Esha main ya Raat k Aakhari Hisse main parhe tu Surah Muzammil os ki Gawahi ban jaay gi, Allah Taalah ose Pakiza Zindagi or Achi Maut de ga. Agher Belanagha os ki Tilawat kare tu Hozoor s.a.w.w ki Ziyarat Naseeb hogi.(Ref: payaam e shifa, pg#84). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: asalawahlekum, me kuch bhi kaam karna chata hoon par mere kaam ka kuch fix nahi ho raha hai or muje rozgaar bhi nahi mil raha hai aap muje is ke liye madad kiji ye shukriya.
Answer: 1. Job milnay k liay sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he. (Ayat Ullah Seestani (d.b), minhaajus saliheen, Part#2, albaabus saani-fis sadqa, page no.425). 2. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “Yaa raz’zaaqo urzuq’nee” یا رزاق ارزقنی} {. (Ref: naaemul aamaal, pg#315). 3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain, laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain...(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: hamare ghar me barkat kese aee?
Answer: 1. Surah al-Zariyaat(sorah#51) or Surah Al-sharh(sorah#94) k parhane waley k liay khair-o-barkat main izafe or rizq main wus’at hoti hai or is k ehl o aayaal ki rozi wasi hoti hai,Ye Amal Tajarba Shuda hai.(Ref : Kitab payam e shifa Pg # 236). 2. Wus’ate Rizq or degar amoor main Asani k liay 40 Din tak har roz nemaz e Subah k bad Darj zail Aayat 50 martaba BaWuzu ho kar kisi se baat kiay baghair parhain, phely Din 2 rakat Nemaz e Hajat Parh kar 100 martaba Salawaat parhain.Baqi Ayyaam main nemaz nahi,Albatta Salawaat 10 Martaba parh kar apne Dil main Qas’d Karen, Ager chand ki Ibtida,e Tarikhoon main parhain tu behtar hai,or wo Surah Mae’da(sorah#5) ki Aayat # 114 hai:(Rabbanaa Anzil aalayna….Khai’roor Raaziqeen ).(Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mujhe ek ladki ka rishta aya hai mujhe oh bahut pasand hai aur meri family ko bhi.lekin unki family ko mai pasand aunga ya nahipata. Nahi.agar koi dua jisse hamari rishta pakka hosake.mujhe koi dua batade
Answer: 1. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 2. Hazrat Imam e Jaffer sadiq a.s. farmatey he k jo surah e taha ko likh kar sabz rashmi kaprey me lappet kar apne pas rakhe aur shadi k qasad se kisi k pas jey to usi na kam nahi lotna pare ga aur wo shadi ho kar rahe gi. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg #18) 3. Hazrat moosa (a.s.) ne apnai shadi k lie surah qasas ki ayat # 24 (rab’bi in’ni . . . . . . faqeerun)ki tilawat ki thi k in ki shadi ho gye lihaza mard apnay lie aur aurat apnay lie parh sakhte he. (ref : kitab naway salaheen pg # 406). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)