Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Dua/Wazifa ( 1519 Questions)

  • Khoof door kerne k liay wazifa (3 Questions)
  • Aulad k liay wazifa (382 Questions)
  • Sawab (4 Questions)
  • Istekhara (84 Questions)
  • Ilaj (211 Questions)
  • Akhlaq k liay wazifa (2 Questions)
  • Aankh ki bemari ka wazifa (3 Questions)
  • Shadi k liay wazifa (706 Questions)
  • Depression k liay wazifa (43 Questions)
  • Rizq k liay wazifa (246 Questions)
  • Khoobsurati k liay wazifa (47 Questions)
  • Ehtilam se bachne k liay wazifa (51 Questions)
  • Imtehan main Kamyabi k liay wazifa (81 Questions)
  • Hafzay k liay wazifa (103 Questions)
  • Jadu or asaib ka wazifa (102 Questions)
  • Qarz ki adaegi ka wazifa (18 Questions)
  • Dard k liay wazifa (43 Questions)
  • Taubah (155 Questions)
  • Motapay main kami k liay wazifa (33 Questions)
  • Wazan Berhane ka wazifa (34 Questions)
  • Keel mohasay(pimples) k liay wazifa (39 Questions)
  • Ghussa or chirh chirha pan k liay wazifa (23 Questions)
  • Muhabbat k liay wazifa (209 Questions)
  • Qad Barhane ka wazifa (65 Questions)
  • Soojan ka wazifa (2 Questions)
  • Bars(safeed daagh) k liay wazifa (7 Questions)
  • Pareshani ka wazifa (139 Questions)
  • Neend kam karne ka wazifa (3 Questions)
  • Lambay baalo k liay wazifa (6 Questions)
  • Gumshuda Cheez ya Shaks k liay wazifa (23 Questions)
  • Taweez (4 Questions)
  • Baalo ki mazboti k liay wazifa (57 Questions)
  • Qaid Khane se nijat ka wazifa (4 Questions)
  • Hashraat-ul-Arz(Insects) k liay wazifa (1 Questions)
  • Zati Makan k liay wazifa (4 Questions)
  • Ziyarat e maqam e muqaddasa k liay wazifa (2 Questions)
  • Pitte ka ilaj (2 Questions)
  • Jinsi ilaj (117 Questions)
  • Bawaseer k liay wazifa (4 Questions)
  • Waswaas ka wazifa (80 Questions)
  • Mirgi k liay wazifa (1 Questions)
  • Dhoodh main izafe k liay wazifa (4 Questions)
  • Hepatitis k liay wazifa (3 Questions)
  • Ghar k husool ka wazifa (6 Questions)
  • Gunah se bachne ka wazifa (14 Questions)
  • Paishab k qatre ka wazifa (10 Questions)
  • Jinnaat ka wazifa (9 Questions)
  • Tazkiya e nafs ka wazifa (0 Questions)
  • Zakham or chuot k liay wazifa (1 Questions)
  • Nafsani problem ka wazifa (6 Questions)
  • Dushman ki halakat k liay wazifa (9 Questions)
  • Nazr e bad ka wazifa (11 Questions)
  • Qarz ki wusooli (2 Questions)
  • Rona se hifazat ka wazifa (2 Questions)
  • Laqwa (1 Questions)

  • Id: 3124
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: agar husband or father kay darmian pehle jaisi muhabbat na rahe or na itefaqi barh jay to kia kiya jay k un main sub kuch pehle jaisa hojay? or yayhi haal poore khandan ka ho k sab main apas main naitefaqi ho to door karne k liyay kia kiya jay

    Answer: 1. Kisi 2 fard k darmian sulah karanay k lie surah e ma,aa,rij(sorah#70) ko 80 bar parhe. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84). 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41).

    Id: 3131
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: mri mangni ko 3 saal hone wale hain shadi nh hoe abi tk koe dua btae k shadi b jald ho jye

    Answer: 1.Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 2.Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafaat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601)

    Video title:
    Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
    Maulana:
    Ali Raza Mehdavi
    Id: 3136
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Mera bhai 15 sal ka h use aqal nhi ghar se chala jata h 20 din ho jate h ghar nhi aata bar bar dundna padta h wo saf nhi bolta jaise hum bolte aap plz mera naam aur mail id ko show mat kijiyega khuda hafiz

    Answer: 1. Jo shakhs ayat ul kursi(3 ayaat tak yani “hum feeha khalidoon tak”) ko aab e zam zam ya aab e baran(barish k paani) se likh kar piay ga is k jism se har beemari door ho jay gi. (ref : wazaif ul abrar pg # 66) 2. kisi bhi qism ki beemari se nijaat hasil karnay k liay 11 martaba dorood shareef parhnay k baad 101 martaba ﻳﺎﺷﺎﻔﻰ ﻳﺎﻛﺎﻔﻰ ﻳﺎﺴﻼﻢ ﻳﺎﺤﻛﻳﻢ parhain aur 319 martaba surah e ya seen ki ayat no 58 me majood jumla ﺴﻼﻢ ﻗﻭﻷ ﻣﻥ ﺭﺏ ﺭﺤﻳﻢ parhain inshallah beemar ko shifa hasil ho gi. (Ref: Naeem ul aamaal pg # 316). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3140
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Kiya wazaif r amaliyat jo aap k bataye hue hain un k liye apne peer sahab sa ijazat lene ki zaroorat ha ya nai?

    Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. NOTE: Hamare bata gaay wazaifay Quran-o-Sunnat kmutabiq hotay hain lihaza is se barh kar koe cheez nahe ap ko kisi se ijazat lay ker amal karne ki zarorat nahi. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3166
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: salam mein gunahon sa bachna chahta hon lakin bach nahi pata plz koi aisa tarika btain k mein gunah na karon

    Answer: 1 Wazifa: Aap tazkiya e nafs or roshan qalbi k liay namaz e subah or isha k baad awwal o aakhir 7 mertaba salawaat k saath 100 mertaba sorah shoora(Sorah#42) ki ayat#53 perhain tu insha Allah zahiri or batini aalisho or khabasato se nafs bazaar hoga. Agar kisi ko her waqt ganday khiyalaat aatay rehtay hoon jin ki wajah se zehen muntashir rehta ho or dil o dimaagh per buray khiyalaat cha,ay rehtay hoon tu osay chahiay k wo shaitani waswaso or buray khiyalaat se mehfooz rehnay k liay her namaz k baad or raat ko sonay se pehlay sorah mominoon(Sorah#23) ki ayat #97 or 98 perh liya karain.(Ref: Nawaay sahiheen, pg#335) 1. Imam Ali bin mosa riza (a.s) ka fermaan hay k jis ka nafs e ammara os ko ziyada waswasa daalta ho tu osay chahiay k Sotay waqt haath ko seenay per rakhain or 100 baar kahay “yaa mumeeto” “یا ممیت” yahaan tak neend ajaay Allah os k nafs ko os k ikteyaar main day day ga.(Ref: mifta hul Hajaat, pg#222). 2. Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref: sistani.org ques # 1, toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

    Id: 3167
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: salam mera kharobhar bhand hogya hai is ke lie dua beta ya koi amal

    Answer: 1. 1.Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 11 martaba darood shareef parhnay k baad 141 mertabah ye zikr perha jaay. ﻴﺎ ﺮﺰﺍﻖ ﺍﺮﺰﻘﻨﻰ “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”.(Ref: naaemul aamaal , pg # 315). 2. 2.Moula Ali a.s. ka irshad he: “sadqa de kar rizq hasil karo”. Dosray maqam per Moula Ali a.s. ka irshad he : “jab faqir ho jao to Allaha se sadqe ke zarie tijarat karo” (ref : kitab payam e shifa pg# 236) 3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3168
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: soorah-e-ma`arij ki ayat no 32,33,34 our 35 ka matlab kiya hy?

    Answer: Or jo apni Amanatoon or Ehed ka khayal rahkne waley hain. (32) Or jo apni Gawahi yoon per Qa,im rehne waley hain.(33) Or jo apni Nemazon ka khayal rahkne waley hain.(34)Yehi loog jannat main baa izzat tariqay se rehne waley hain.(35)[Ref : Quran Majid Tarjuma wa Tafseer Allama Zeeshan Haider Jawwadi, pg#1171]. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3169
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: mian biwi k beej pehlay jesi mohabbat na rahay or husband ka dil biwi say utarta jay to ALLAH K konsay nam wird kia jay

    Answer: 1. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s.) se marvi he k surah e Mubarak e juma(sorah#62) ko sohar aur biwi k darmiyaan it’ti’faaq k lie 5 baar parhna chahaie. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84). 2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s.) se manqool he k surah e Mubarak e nissa(Sorah#4) ko sohar aur biwi k darmiyan mouafiqat hasil karnay k lie parha jay to maqsood hasil ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84). 3. Kisi 2 fard k darmian sulah karanay k lie surah e ma,aa,rij(sorah#70) ko 80 baar parhain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) 4. Riyawat me he k agar sohar aur biwi k darmiyaan ulfut o muhabbat barhani ho to is Mubarak ism(Al wa’dood) ko 1001 baar kisi meethi cheez per parh kar donoo ko khanay ko dia jay to inshallaha zaroor bahimi ulfut wo mubahat paida ho jay gi. aur ikhtilaf khatam ho jay ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 83). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3170
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: meri bv meri tabidar ni hy may chahta ho o meari tabidar ho jae aur par mera rub qaim hojaye

    Answer: 1. Ager Surah Anaam (Sorah#6) ki ayat # 142 likh kar na farman Bivi ko di jaay or wo ise gheeh k sath khay tu Mu’te or fermaberdaar ho jaay gi. (Ref: Kitab payam e shifa Pg # 284). 2. Surah Mubarika nisa (Surah #4) ki Ayat # 34 ko 7 Martaba parhna Zau’ja ko Mu’te hone ke liay Mujarrab hai.(Ref: Kitab payam e shifa Pg # 284). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3171
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: mera kam jaldi ho jata hai biwi ki sharm ga ko lagte hi iskeliye koi duwa hai

    Answer: Aik shaks ne Imam a.s ke khidmat main Arz kia k main chahata hon k Jinse lazzat se bahut ziada luft uthaon laikin aisa nahi hota muje koe aisa tariqa bataye jis se meri tamana pori ho jaye,Imam a.s ne farmaya!Sufiad Piyaaz kat kar Geeh main tal lo es k bad aik bartan main Anda Daal kar thora sa namak cherhak lo or phir Andey ko surkh ki hoe Piyaaz main dal do or kuch deer pakne do ye Ghiza khane se tumhain jinse Qoowat hasil ho jaye gi, is shaks ka kehna hai k main ne Imam a.s k kehne k mutabiq Aamal kia or is ghiza ki barkat se apni dili muraad ko pa liya. (Ref : (Ref : Kitab Tib-e-islami Pg # 54). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Related:

    Audio Masail:

      NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

    Fiqhi Books

    Istiftaát
    Read Online!
    Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
    Wasiyat Nama Read Online!
    Terminology of Fiqh Read Online!