Question: sir mai ni boht gunaha kie hain apni girl friend k sath mai pahle boht hubsural hota tha itna husan tha mere chehra pe. main ic wakt 26 saal ka hun. ap muje koi aisa amal bataen k allha mere gunnha maf kar dain aur mere chehre ka husan wapis aa jea
Answer: Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay.or isi liay kaha gaya hay k “nidamat hi tuba hay”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k terk k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shaks zaroor bil zaroor apnay pichlay gunaho ka izala or tadaruk kerta hay.agar os ka hunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zarori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day.taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mzboot irada or os ka tadaruk laazimhay.albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zarori hay k dobarah tauba karain.kun keh Khuda kareen or meherban hay.or bakshnay wala hay.or tauba kernay walo ko doost rakhta hay.hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah r fikr kerna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr kerna hay.or isi liay hadees main ayay hay: “tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se per haiz karao k Khuda hazir or daikhnay wala hay”( Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mere hasband bahut pareshan hai unkijob nahi lagti hai lagti bhi hai to pareshan hoker chod dete hai interwieu bhi dete hai par kuch replie nahi ata
Answer: 1. Job milnay k liay sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa, page no.425). 2. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee”( يا رزاق ارزقنى).(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain..(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: main chahti hu ki mere maa baap meri shadi usi ladke se kare jise main chahti hu.
Answer: Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalam o aliqum Mera naam nadeem khan hai Me masala ya hain ke Mai aik larki se be had mohabbat karta ho our us se shadi karna chahta ho liken wo muj se mohabbat nahi kati Our na mere maa us ko pasand karte hai Ese lye aap koye haall nekale
Answer: Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asslmu Akum.sir istakhara karne ka pura tarika bataye
Answer: Tasbih k zerye Istekha kerne ka tariqa: Sab se pehlay 3 mertaba salawaat(dorood shareef) perh ker tasbih par hath dala jay or 2, 2 ker k gintay jain agar 2 daanay bachain tu natija behter nahi hay or agar 1 daana bachay tu natija behter hoga. (http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=310&page=2&perpage=10). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: AOA, mere andar bahut dar beta hua hai. Hamesa muje ladai jhagdo se dar lagta hai. Koi esa wajifa bataye ki me kisi se daru nahi apne hak ke liye ladata rahu
Answer: 1. Shujaat wa Dilawari ke Ziyadati ke Niyat se 20 Rooz tak har rooz 50 Martaba Nad-e-Ali k Parhne se Shujaat main Ziyadati ho ge.(Ref : Kitab Wazaif Nad-e-Ali a.s). 2. Shujaat k Husool ke leye har rooz 25 Martaba Nad-e-Ali parhne se Sahib-e-Shujaat hoga. (Ref : Kitab Wazaif Nad-e-Ali a.s Pg # 23). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: bahaduri ke liye dua
Answer: 1. Shuja,at wa Dilawari ki Ziyadati ki Niyat se 20 Rooz tak har rooz 50 Martaba Nad-e-Ali k Parhne se Shuja,at main Ziyadati ho gi.(Ref : Kitab Wazaif Nad-e-Ali a.s Pg # 16). 2. Shujaat k Husool k liay jo har rooz 25 Martaba Nad-e-Ali parhay wo Sahib-e-Shuja,at hoga. (Ref : Kitab Wazaif Nad-e-Ali a.s Pg # 23). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mari shadi ko 3 mah howe he or Mera sawal ye he k mary shoher apna wo mari sharam gah me dalne se paly he farig ho gaty han mujhy samjh nahi ati me kia kar plz ager ap ke pas is ka koi ilag ho to mujhy pataiye ap ki bohot mahrebani ho gi.
Answer: 1. Umar bin Hasnah Jammaal ka nutfa kam pehlta tha yani es ke mani main kamzori thi.es ne imam a.s se es cheez ke shikayat ke tu imam a.s ne farmaya!ke tum sab se pehly khudaye Aazwajal ke barigah main istagfaar karo or es ke baad andey or Piyaaz kasrat se khao.Jin logon ko ye kamzori ho inhain chaheye k kazrat se andey or Piyaaz khayen.(Ref : (Ref : Kitab Tib-e-islami Pg # 54) 2. Aik shaks ne Imam a.s ke kidmat main Arz kia k main chahata hon k Jinse lazzat se bahut ziada luft uthaon lakin aisa nahe hota muje koe aisa tariqa bataye jis se mere tamana pori ho jaye,Imam a.s ne farmaya!Sufiad Piyaaz kat kar Geeh main tal lo es k bad aik bartan main Anda Daal kar thora sa namak cherak lo or phir Andey ko surkh ke hoe Piyaaz main dal kar do or kuch deer pakne do ye Gaza khane se tumhain jinse Qoowat hasil ho jaye ge,es shaks ka kehna hai k main ne Imam a.s k kehne k mutabiq Aamal kia or es gaza ke barkat se apni dile muraad ko pa liya. (Ref : (Ref : Kitab Tib-e-islami Pg # 54). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: i want know about fazlit=surha muzammil-because-i red=11-time-rojana bad namaz fazra
Answer: Surah Muzammil ke Fazilat 1. Sarkar Nabi Kareem s.a.w.w se Marvi hai Jis ne Surah Muzammil ko parha os ne Dunniya or Aakhirat ki tangi or usrat uhtha li jaay gi. 2. Imam Jafar Sadiq a.s ka Irshad hai k Jo Shaks is Surah ko Nemaz-e-Esha main ya Raat k Aakhari Hisse main parhe tu Surah Muzammil is ki Gawah ban jaay gi Allah ose Pakiza Zindagi or Achi Maut de ga. Agher Belanaga is ki Tilawat kare tu Hazoor s.a.w.w ki Ziarat Naseeb hoge.(Ref: payaam e shifa, pg#83-84). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: shohar ka dil naram krny or mohabat k liy wazifa quran ki roshni mai btain
Answer: 1. kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314). 2. Angoor ya kishmish per 700 martaba Nad-e-Ali a.s Dam kar ke jis ko khilain tu wo us ki muhabat main Ashiq or Deewana ho ga. (Ref : Kitaab Wazaif-e-Nad-e-Ali a.s Pg # 14). 3. Zojah juma k rooz 47 martaba Nad-e-Ali a.s parh kar apne per dam kare or apne sohar se baat kare tu muhabat se beqarar hoga. (Ref : Kitaab Wazaif-e-Nad-e-Ali a.s Pg # 14). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)