Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Dua/Wazifa ( 1519 Questions)

  • Khoof door kerne k liay wazifa (3 Questions)
  • Aulad k liay wazifa (382 Questions)
  • Sawab (4 Questions)
  • Istekhara (84 Questions)
  • Ilaj (211 Questions)
  • Akhlaq k liay wazifa (2 Questions)
  • Aankh ki bemari ka wazifa (3 Questions)
  • Shadi k liay wazifa (706 Questions)
  • Depression k liay wazifa (43 Questions)
  • Rizq k liay wazifa (246 Questions)
  • Khoobsurati k liay wazifa (47 Questions)
  • Ehtilam se bachne k liay wazifa (51 Questions)
  • Imtehan main Kamyabi k liay wazifa (81 Questions)
  • Hafzay k liay wazifa (103 Questions)
  • Jadu or asaib ka wazifa (102 Questions)
  • Qarz ki adaegi ka wazifa (18 Questions)
  • Dard k liay wazifa (43 Questions)
  • Taubah (155 Questions)
  • Motapay main kami k liay wazifa (33 Questions)
  • Wazan Berhane ka wazifa (34 Questions)
  • Keel mohasay(pimples) k liay wazifa (39 Questions)
  • Ghussa or chirh chirha pan k liay wazifa (23 Questions)
  • Muhabbat k liay wazifa (209 Questions)
  • Qad Barhane ka wazifa (65 Questions)
  • Soojan ka wazifa (2 Questions)
  • Bars(safeed daagh) k liay wazifa (7 Questions)
  • Pareshani ka wazifa (139 Questions)
  • Neend kam karne ka wazifa (3 Questions)
  • Lambay baalo k liay wazifa (6 Questions)
  • Gumshuda Cheez ya Shaks k liay wazifa (23 Questions)
  • Taweez (4 Questions)
  • Baalo ki mazboti k liay wazifa (57 Questions)
  • Qaid Khane se nijat ka wazifa (4 Questions)
  • Hashraat-ul-Arz(Insects) k liay wazifa (1 Questions)
  • Zati Makan k liay wazifa (4 Questions)
  • Ziyarat e maqam e muqaddasa k liay wazifa (2 Questions)
  • Pitte ka ilaj (2 Questions)
  • Jinsi ilaj (117 Questions)
  • Bawaseer k liay wazifa (4 Questions)
  • Waswaas ka wazifa (80 Questions)
  • Mirgi k liay wazifa (1 Questions)
  • Dhoodh main izafe k liay wazifa (4 Questions)
  • Hepatitis k liay wazifa (3 Questions)
  • Ghar k husool ka wazifa (6 Questions)
  • Gunah se bachne ka wazifa (14 Questions)
  • Paishab k qatre ka wazifa (10 Questions)
  • Jinnaat ka wazifa (9 Questions)
  • Tazkiya e nafs ka wazifa (0 Questions)
  • Zakham or chuot k liay wazifa (1 Questions)
  • Nafsani problem ka wazifa (6 Questions)
  • Dushman ki halakat k liay wazifa (9 Questions)
  • Nazr e bad ka wazifa (11 Questions)
  • Qarz ki wusooli (2 Questions)
  • Rona se hifazat ka wazifa (2 Questions)
  • Laqwa (1 Questions)

  • Id: 3298
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: main apni pasad sy shadi karna chahti hon.larka or mari family agree hain .lakin larky ki family buhat proble kar rahi a ..mary pass time buhat kam ha ..app please koi acha wazeefa batao..

    Answer: 1. Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 3. Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafaat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601) 4. sorah taahaa ki ayat # 131 or 132 ko lerki k baazo(arm) per baandh diya jay insha allah jald rishta aay ga.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 328) 5. Jo mard aurat shadi chahte hein. Wo surah e taha ayat # 131,132 (wala tamud’dannah. . . . .. . .. . .. lit taqwa) ka taweez likh kar gale me dalein. is ayat ke bad darood bhi likhein. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 282) Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3307
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: hazrat mera ye sawal hai ki meri umr18saal hai aur4saal se handprestic haato se mani nikalta huen hazrat bachna chahta huea par bach nahi pata isse bachne ke liye dua bataye

    Answer: Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 2. First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010) Translate: sub se shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or this gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah kin a-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Video title:
    Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
    Maulana:
    Ali Raza Mehdavi
    Id: 3308
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: salam o alikum sir main qarz main bht doba hua hn aur 1 month bad meri shadi ha mujhy koi aisa hall bata dein mera qarz utar jaye meri ane wali wife k dil main mera pyar rahy aur maa baap behan bhaiyon ki nazar main meri izzat rahy

    Answer: Sorah e mubaarka hijr(sorah#15) likh ker paas rakhna adaigi e qarz k liay mujarrab hay. Sorah e mubaarka muzammil(sorah#73) ko har rooz 7 baar qarz ki adaigi e qarz k liay mujarrab hay. Agar koe qarzdaar hojaay tu sorah e feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandhain tu oska qarz ghaib se ada hojaay ga. Jo koe sorah e dahr(Sorah#76) ko likh ker galay main daalay tub hi oska qarz ghaib se ada hojaay ga.(Ref: Nawaay Saliheen, pg#340). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3312
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: hazrat meri umr 19saal hai maine haath bahut lagaya hai jisse raat ko sote waqt ganda ganda khwab dekhata huen aur ehtalam hojata hai kareeb 5saal se aysa hai hazrat isse nazat ke liye dua bataye aur medicine bataye

    Answer: 1)Agar kisi shakhs ko ye khof rehta ho k wo neend ki halat me mutahlim na ho jey is lie use chahaie k jab wo raat ko soney lage to ye dua parhe ethilam se amaan me rahe ga, Dua ye he (ALLAA HUMMA IN’NEE A’OO’ZO BI KA MI’NAL EHTILAAMI WA MIN SOO’EIL AH’LA’MI WA MIN AN YA’TA’LAA’ABA BI’YASH’ SHAI’TAANO FIL YAQ’ZA’TI WAL MANAAMI) “ اَلّلهُمَّ اِنّی اَعُوذُبِکَ مِنَ الاِحتِلامِ وَمِن سُوءِ الاَحلامِ وَمِن أن یَتَلاعَبَ بِیَ الشَّیطانُ فی الیَقظَۀِ وَالمَنامِ ”. (Ref : Mafateehul jinaan k hasheeya main, mutarajjim allamah akhter abbas sahib, pg # 123-4). 2) Surah e al tariq k khawas me he k sote waqt is ko parh k ethilam nahi ho ga. (ref : mukhzane amaliat pg # 64, 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3313
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: A.o.a merai husband ki promotion aur salary increase nahi horahi muskilat hai.pls koi wazifa batadai

    Answer: 1. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee” ( يا رزاق ارزقنى).(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain..(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). 3. wos’at e rizq aur rozi k lie surah e qaaf 3 bar qibla ki taraf monh ker k parhein ajeeb asar rakhti he.(ref kitab payam e shifa pg # 227)

    Id: 3342
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: how to incraese rozi how to cure back pain by dua or qurani ayat aur suray

    Answer: 1. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee” ( يا رزاق ارزقنى).(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain..(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). 3. Moula Ali a.s. ka irshad he: “sadqa de kar rizq hasil karo”. Dosray maqam per Moula Ali a.s. ka irshad he : “jab faqir ho jao to Allaha se sadqe ke zarie tijarat karo” (ref : kitab payam e shifa pg# 236) 4. wos’at e rizq aur rozi k lie surah e qaaf 3 bar qibla ki taraf monh ker k parhein ajeeb asar rakhti he.(ref kitab payam e shifa pg # 227)

    Id: 3351
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: asalamalaikum sir mujey pathri hai kidney hai 1.2cm koi aisa tareqa batain jis sai mera masla hal hojayain 2year hogai nai khatam horai main buhat pareshan ho meray gar walai bi

    Answer: Agar kisi k gurday(Kidney) ya pittay(gall-bladder) main pathri paida ho gae ho tu osrah e baqrah(sorah#2) ki ayat#74 ko 41 mertaba perh ker pani per dam ker k pi,ein insha Allah jald kamiyabi naseeb ho gi.(Ref: Naeemul amaal, pg#371). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3390
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: ma ny phly bhi sawal kya but ap ny ans nae dia mjhy pochna tha k agr kisi kam k liye misalsal dua ki jaye to kafi time guzarny k bad bhi dua qabol na ho to kya wo dua chor dn to na umeedi nhe hy? ans me plz

    Answer: 1)Dua: Khuda nay dua k qabool karne ka wada kia hai or is ki koi shara’it nahi hain. jo bhi khuda sai dua karta hai wo os ko jawab deta hai. aur ahla e marifat k lie wohi kafi hai aur agar dua ki lazzat ko mehsoos karay tu os ko phir kisi cheez ki zarorat nahi hogi. Laikin khuda se jo dua ki jati he oski tehqeeq karna (faiday mand hona) dua ki shara’it main sai hai jo k insan ki quwat sai bahir hai, Q k baaz awqaat insan kisi cheez ka talab gaar hota hai jab k os main insan ki maslehat nahi hoti or mumkin hai k wo os k natijay ki taraf mutawajjah nah ho k ye cheez os k lie faiday mand hai, ya os cheez ki maslehat ko jaana os k lie na-mumkin ho ya os ki khahish nizaam e takwini(kaaynaat ka nizam) sai takrao rakhne wali ho.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=827020&id=904 ) 2)Allah sai mayus hona kabeera gunah mai shumar kia gya hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1, masla # 29) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

    Id: 3392
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: shohar ki lambe omar or sehat ky ley koi wazeefa bata day.shadi par chehra pornor ho or shadi ka tamam kam ba khariat anjam pa jay es ka bhi wazeefa bata day bohat maharbani ho ge

    Answer: 1)Umar ko ziada krnay wali cheezoo mai sai kuch ye hain: 1:Sadqa dena 2:Bohat dua krna, 3:namaz e shab prhna, 4:subah sai pehlay istegfar krna , 5:namaz e jamat par pabindi krna aur Imam Hussain a.s. ki bohat ziada ziarat krna. (Ref : Payam E Shifa pg # 299) 2)Sehat o aafiat k lie dua hazrat sajjad a.s. say marwi hai. “ Allah humma inni as’aa’loo’kal aa’fi’ya’to wsh shukra alal aa’fi’ya’te ” (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 211) 3)Hazrat Imam Jaffar e Sadiq a.s. ka farman he ke “Namaz e shab charey ko zeba(khoob surat) aur Aqhlaaq ko acha banati he. Aur insan ko khushboo daar karti he. Rizq ki ziadti aur qarz ki adaigi ka baes benti he ghum ko door karti aur aankooh ko noor ata karti he”. Aik aur irshad k aik jumla he k namaz e shab charahey ko safaid aur khoobsurat karti he. (ref : Kitab payam e shifa pg # 147) 4) Kisi bhi jaiz maqsad main kamiyaabi k liay 11 martaba durood sharif prhnay k baad 101 mertabah perhain. (yaa Allaaho yaa rahmaano yaa raheemo yaa kareemo yaa hay’yo yaa qay’yoomo). (Ref: Naemul aamaal , Pg # 314). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

    Id: 3412
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: A.o.a mery two betiya hai mujai koi wazifa batai kai aulad narina mil gai

    Answer: 1. Agar Sorah e meryam(Sorah#19) ki ayat# 5 or 6 ko likhain or os se pehlay bismillah Hir Rahmaanir raheem likh ker aurat ki qamar main baandhain tu os k haan baita paida hoga.(Ref; nawaay saliheen, pg#344). 2. Tafsee e burhaan main hay k hazrat rasool e akram(s.a.w.w) ne fermaya k aulaad e narina(baitay) k husool k liay sorah e fajr(Sorah#89) likh ker biwi or shohar k galay main dalain tu onk haan ferzand paida hoga.(ref: nawaay saliheen, pg#344)

    Related:

    Audio Masail:

      NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

    Fiqhi Books

    Istiftaát
    Read Online!
    Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
    Wasiyat Nama Read Online!
    Terminology of Fiqh Read Online!