Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Dua/Wazifa ( 1519 Questions)

  • Khoof door kerne k liay wazifa (3 Questions)
  • Aulad k liay wazifa (382 Questions)
  • Sawab (4 Questions)
  • Istekhara (84 Questions)
  • Ilaj (211 Questions)
  • Akhlaq k liay wazifa (2 Questions)
  • Aankh ki bemari ka wazifa (3 Questions)
  • Shadi k liay wazifa (706 Questions)
  • Depression k liay wazifa (43 Questions)
  • Rizq k liay wazifa (246 Questions)
  • Khoobsurati k liay wazifa (47 Questions)
  • Ehtilam se bachne k liay wazifa (51 Questions)
  • Imtehan main Kamyabi k liay wazifa (81 Questions)
  • Hafzay k liay wazifa (103 Questions)
  • Jadu or asaib ka wazifa (102 Questions)
  • Qarz ki adaegi ka wazifa (18 Questions)
  • Dard k liay wazifa (43 Questions)
  • Taubah (155 Questions)
  • Motapay main kami k liay wazifa (33 Questions)
  • Wazan Berhane ka wazifa (34 Questions)
  • Keel mohasay(pimples) k liay wazifa (39 Questions)
  • Ghussa or chirh chirha pan k liay wazifa (23 Questions)
  • Muhabbat k liay wazifa (209 Questions)
  • Qad Barhane ka wazifa (65 Questions)
  • Soojan ka wazifa (2 Questions)
  • Bars(safeed daagh) k liay wazifa (7 Questions)
  • Pareshani ka wazifa (139 Questions)
  • Neend kam karne ka wazifa (3 Questions)
  • Lambay baalo k liay wazifa (6 Questions)
  • Gumshuda Cheez ya Shaks k liay wazifa (23 Questions)
  • Taweez (4 Questions)
  • Baalo ki mazboti k liay wazifa (57 Questions)
  • Qaid Khane se nijat ka wazifa (4 Questions)
  • Hashraat-ul-Arz(Insects) k liay wazifa (1 Questions)
  • Zati Makan k liay wazifa (4 Questions)
  • Ziyarat e maqam e muqaddasa k liay wazifa (2 Questions)
  • Pitte ka ilaj (2 Questions)
  • Jinsi ilaj (117 Questions)
  • Bawaseer k liay wazifa (4 Questions)
  • Waswaas ka wazifa (80 Questions)
  • Mirgi k liay wazifa (1 Questions)
  • Dhoodh main izafe k liay wazifa (4 Questions)
  • Hepatitis k liay wazifa (3 Questions)
  • Ghar k husool ka wazifa (6 Questions)
  • Gunah se bachne ka wazifa (14 Questions)
  • Paishab k qatre ka wazifa (10 Questions)
  • Jinnaat ka wazifa (9 Questions)
  • Tazkiya e nafs ka wazifa (0 Questions)
  • Zakham or chuot k liay wazifa (1 Questions)
  • Nafsani problem ka wazifa (6 Questions)
  • Dushman ki halakat k liay wazifa (9 Questions)
  • Nazr e bad ka wazifa (11 Questions)
  • Qarz ki wusooli (2 Questions)
  • Rona se hifazat ka wazifa (2 Questions)
  • Laqwa (1 Questions)

  • Id: 3420
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: 3 sisters ki shadi nai ho rehi hai .koi dua esi hai jo Allah hamari bhi sun lay ? please pray fo r us

    Answer: 1. Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) 3. Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafaat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601) 4. sorah taahaa ki ayat # 131 or 132 ko lerki k baazo(arm) per baandh diya jay insha allah jald rishta aay ga.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 328)

    Id: 3436
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Dil ki kamzori dor karne ka tarka or isas-e-kamtari ko khatm karne ka tarika b.thanks sir

    Answer: 1)Jo shakhs surah e hood (surah no. 11) ko zafran sai likh kar 3 din tak subah wa sham piay ga to is ka dil qawi aur taqat-war ho jae ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 87) 2) ism e Mubarak “ÇáãÊیä” ko rozana 366 martaba parhna tawakkul ki doulat ata karta hai. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 87, 61) 3) ehsas-e-kamtari (Allah say ma’yoosi ) ko ghunah kabeera mai shumar kia gya hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 29)

    Video title:
    Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
    Maulana:
    Ali Raza Mehdavi
    Id: 3445
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: please tell me wadifa or duas to avoid sins

    Answer: 1)First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010) 2)To never be involved in any sin recite these beautiful names at the time of morning. “ ÇáÞÇÏÑ ÇáãÞÊÏÑ ÇáÞæی ÇáÞÇÁã ” (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 43)

    Id: 3448
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: ji hazrat mera ye sawal hai ki mere mahalle me 8islami dost hain isme se 1 dost ka mood chenge hojata hai kabhi larai karte hai kabhi gali bakte hain inka dimag sahi hone ke liye koi dua batayen

    Answer: Agar koe baat baat par chirh chirhay pan ka shikaar ho tu sorah e aalay Imran(sorah#3) ki ayat#134 ko 7 baar pani per perh ker pila dain tu osay bad akhlaqi or ghussay se nijaat milay gi.(Ref: nawaay Saliheen, pg#346). Agar koe sorah e Qalam (sorah#68) ki ayat # 4 ko 11 mertaba pani per perh ker bad ahlaaaq ko piladay tu khuda osko aklaaq e hasanah ata fermaay ga.(Nawaay saliheen, pg#345)

    Id: 3449
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: ma language course kar rahi hooo plz ap mujay batae ke ma kya aisa paro jis ki waja se meray ilam ma izaafa hoo or ma jald hi language sikh jao...plzz

    Answer: Iddatud daa,e main mazkoor hay k agar bachchay ka dil ilm k husool main nah lagta ho tu sorah alaq ki 1 se 5 tak ki ayaat ko likh ker galay main daal lain or paani per perh ker pilain tu zehen or aqal ki taizi k liay mujarrab hay.(Ref: nawaay saliheen, pg#346) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3468
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Assalam o alaikud meri omar 16 sal hae mera qad 5.1 feet hae mein qad ki wajha sae bohat pareshan hoan jald kuch bataen jis sae qad bara ho?

    Answer: Agar kisi ka qad chota ho to 6 mahinay tk har roz 3 chini ki plato par surah yousuf ki ayat no 1 ko nichay diay huay Allah k nam k sath zafran sai likh kar subah, asr, isha piay to is ka qad daraz ho jae ga.Allah k nam ye hain ﺍﻠﺮﺤﻴﻡ ﺍﻠﺮﺤﻴﻡ ﺍﻠﺮﺤﻴﻡ ﻴﺎﺍﻠﻠﻪﻴﺎﻤﺮﻴﺪ (Ref : Naway e salaheen pg # 380) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3489
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: A o a sir plzzz mjy bta den k hamal k duran ayse kon kon c duaen ayat ya surah parhne chaheye k bacha Allah k hukam se bhot khubsurat khub seerat r har ayb se pak ho

    Answer: Imam jaffer sadiq(a.s) ferfatay hain k jo koe bahi(quince/بہی) ko nihaar monh khaay gat u oska nutfa sahi o salim hoga or os k natijaay main paida hone wala bacha khoob sorat hoga.(ref: tibbay Islami or jaded medical science, pg#67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3496
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Salam alekum mare sasur ko sarataan ki bimari hai hame ye bimari ke liye sura cahiye take hamre sasur ki bimari dur ho jaye

    Answer: Surah Ibrahim(Sorah#14) ki ayat #26 perh kar 5 mertaba Nad e Ali(a.s) perhain aur mareez per phoonkh dain,insha Allah chand din main faida hoga, is merz k liay sorah e an,aam(Sorah#6) bhi mufeed hay.(Ref. Payam e shifa pg# 201). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3516
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: ASALAM WA ALAIKUM, FOR FULFILMENT OF ANY JAIZ WISH PLZ PROVIDE ANY EFFECTIVE WAIFA.

    Answer: One who recite 686 times bismillah and recite 676 times durood shareef then pray, your duas/wishes will be answered. (Ref : Naemul aamaal pg # 317) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Id: 3521
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Muje navkari nahi mil rahi hai kuch ayat batao

    Answer: 1. Job milnay k liay sadqa dain. Sadqe ki wajah se rizq naazil kiya jata he.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa, page no.425). 2. Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee” ( يا رزاق ارزقنى ).(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 3. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain..(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

    Related:

    Audio Masail:

      NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

    Fiqhi Books

    Istiftaát
    Read Online!
    Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
    Wasiyat Nama Read Online!
    Terminology of Fiqh Read Online!