Question: jab hum mareez ky liye koi vazifa ya ayiat party hai to aur pani per dam karty hai to koi 3 aur 4 vazifa kar ky usi pani pr dam kar dy to esa karna theek hai ya uska elheda pani pary.
Answer: Aap tamaam wazifay aik pani per perh ker phoonkh saktay hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: isha k witer mai danton k dard k lia kon si suratain perni chahian
Answer: Note : Is web site per faqat fiqh e jaffaria k mutabiq jawabat diey jatay hein. Dard wale daant (tooth) par ungli rakh ker surah e mominoon(sorah#23) ki ayat #78 ko 7 baar perhain (Ref. payaam shifa pg# 194) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam .mujhy koi asa wazefa batien jiss say meri pregency khair khariet say guzar jeye aur sehantmand olad ho,mera miscarage na ho plz koi asa wazefa bata dien ...
Answer: (1) Surah e alm nashrah ko likh ker dohain haamila aurat ko piladain waza e hamal jald aur aasani se ho ga . (Ref. payaam e shifa pg#283). (2) Hazrat Muhammad s.a.w. Farmatay hain k agar surah e haaqqah(sorah#69) ko likh kar os hamila aurat ko bandah jay to Allaha k hokum say jo bacha os k batan may hay mahfooz rehay ga. Rasool e khuda s.a.w. irshad farmatay hain k agar koi surah e aal e imran(sorah#3) ko zafran say likh kar biwi k galay may latkate jis ka hamal gir jata ho to khuda hamal ko zaya honay say mahfooz rehay ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 100) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: assalampalaikum mera sawal ye hai ki el ladake ne mere kuch rupaye le liye hai air dene ka nam nahi le raha hai sirf kaheta hai,plz mujhe koi wakaif batayen jijase wo mera paisa de de.
Answer: Qarz ki wusooli k liay sorah taghabun(sorah#64) ki ayat#17 ko her rooz awal o akhir salawaat k saath 11 mertaba perhain tu Insha Allah qarz wusool ho jay ga.(Ref: Nawaay saliheen, pg#341). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Main ameer banna chahta hu...Koi dua batado...
Answer: Note : Is website per fiqh e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Jo shakhs dophair k waqt ya adhi raat ko haath utha kr 100 martaba “ ” ki tilawat karay ga to os kay rizq may izafa ho ga. (Ref : Kitab naway e saleheen pg # 337 ) Sorah e Zariyaat(sorha#51) or sorah e Alam Nashrah( sorah#94) k perhne walay k liay kher o berkat main izafa or rizq main wusat hoti hay or ahl o ayaal ki rozi wasee hoti hay. Ye amal tajarba shuda hay.(Ref: payaam e shifa, pg#236). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)
Question: main ek larky ko pasand krti hn mery ghr waly nae man rahy koi wazifa bta dayen
Answer: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) Hazrat Imam jaffar e sadiq a.s. farmatay hain k jo surah e taha ko likh kar sabz rashmi kapray mai lepait kar apnay pas rakhay aur shadi k qasad say kisi k pas jae to osi nakaam nahi lotna paray ga aur wo shadi ho kar rehay gi. (Ref : Dunya aur aakhirat ki 100 perashanion ka hal pg # 18) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Mera question hay k majh say ak gunah sarzad ho jata hay bohat koshaish k bawajod mujh say nahi chot raha. Koi aysa amal batin k muj say chot jay.
Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Ghunnah say hifazat aur nafs ki pakisgi aur bulandi k lye zikr e younusia jo surah e ambia ki ayat no 87 hay parhna chahaea, wo zikr ye hay “áÇ Çáå ÇáÇ ÇäÊ ÓÈÍÇä˜ Çäی ˜äÊ ãä ÇáÙÇáãیä ” Behtr hay k isay sijday may ziada say ziada tilawat kia jay. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 42 )
Question: asslamoalaikum... me 3 sal sy b.com kar rha hun par me pass nai hora har bar koi issue ban jata h na he muj sy study hoti h ab na mera dil karta hai or na pass hota hun plz mujy btaen k mera dil b lagy study me or pass b hojaon achy marks thy...
Answer: Agar dil ilm k hosool mai na lagta ho to surah e alaq ki 1 ta 5 ayaat ko likh kar galay mai dal lain, mujrab hai. (Ref : Naway e Salaheen pg # 346)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar ap kahi se guzarte ho or wahan 4 musalman bethe ho or ap 3 se hath milao or 1 se na milao to is k bare mai kia tanqeed hay jab k us ko pata hay k yeh bhi sahi musalman hay
Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Salam krna mustahabb hai aur is amr ki bohat takeed ki gae hai k sawar paidal ko aur aur khara hua shakhs bethay huay shakhs ko aur chota baray ko salam kray. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 184)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: wief gustakh hy....badtamizi krti he......
Answer: Surah e nisa surah no 4 ki ayat no 34 ka 7 martaba parhna zouja ko farmabardar banana k lie mujarab hai. ayat ye hai “ ﺍﻟﺮﺟﺎﻞ ﻘﻮﺍﻤﻮﻦ ﻋﻠﻰ ﺍﻟﻨﺴﺎﺀ ”(Ref : Payam E Shifa pg # 284)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).