Question: meyan bivi aaps m pyar b bohat krte hn ek dosre ko khona yani umar bhar shorna bhi nhi chahte lekin bar bar choti choti baton pr larai jaghra krte hn bara masila banate hn
Answer: Auratoo k hoqooq mai sai hai k mard isay aeziat aur aazar na pounchay aur kisi sharie wajah k bagair is k sath sakhti aur tarsh rawi sai pesh na aye. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2376) Aur aurat bhi koi aisa kaam na kray jo sohar k haq k manafi ho. Wazifa : Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina surah # 60, ki ayat # 7, ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me be’misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mere abbu muj se naraz hain or wo muje maaf nhe kr rhy main ap se madad chahta hon k koe aisa wazifa den jis ki madad se mere abbu k dil main mere liay reham aey or wo muje maaf kr den.
Answer: Waldain ko aziyat daina haram hai. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen, 1430 hijri edition, maslah #30). Wazifa: kisi k dil main muhabbat paida kerne k liay 213 martba ye parain یالطیف یاودود . (Ref: Naeemul amaal pg#314). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salaam walekum mujhe gussa bahout aata hai koi wazifa bataiye ki mera gussa khatam ho gai.
Answer: Gussay ko door karnay k lie surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pe lain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 369) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Aslam o Alaikum. plz Koi aisa amal batayen jis se khawab mein (Nabi S.A.W)ki ziyarat ho jay.
Answer: Jo shakhs Sarkar Risalat Hazrat Muhammad Mustafa (s.a.w.w.) ki khawab mai ziarat krna chahta hon k 3 shab tak har shab 30 martaba surah e yaseen surah no 36 ki ayat no 42 parhay to wo Hazrat Muhammad Mustafa (s.a.w.w.) ki khawab mai ziarat karay ga. Ayat ye hai “ وخلقنالھم من مثلھ ما یرکبون ” (Ref : Payam E Shifa pg # 135) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Sir Please muje aulad e noreena k lye koi wazeefa bta den. with complete reference.
Answer: Hazrat Imam Jafar e Sadiq a.s sai marwi hai k aulad e Narnia(beta) k lie mard apna hath biwi ki naaf par daein taraf(right side) rakh kar 7 martaba surah e qadr surah # 97 ki tilawat krnay k baad mubashrat karay to murad puri ho gi aur jab hamal zahir ho jae to phir isi terh 7 bar tilawat karay. (Ref : Payam E Shifa pg # 93) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Salam janab...janab e aali 1 job milne wali hai hme uska bs akheri imtehan baqi hai...ap koi aisa tarika bta do k jate hi adhikari hme paas karde. Wassalam
Answer: Kisi bhi jaiz maqsad main kamiyaabi k liay 11 martaba durood sharif prhnay k baad 101 mertabah perhain. (yaa Allaaho yaa rahmaano yaa raheemo yaa kareemo yaa hay’yo yaa qay’yoomo). (Ref: Naemul aamaal , Pg # 314). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: AslaamuAlaikum, Mujhe yeh poochna hai jaadu aur sihr ka tor kya hai agar poore ghar pe ho ahr ghar waalo pe. doosri baat baal ganneh karna ka wazaif. teesri baat kamyaabi ka wazifa? aur aakhri baat kuch yaad nahi rehta, dimaag tez ho jaaye uska wazifa?
Answer: 1)Jadoo k lie: Imam jaffar e Sadiq a.s. farmatay hain k jo surah e jin ki apni zindigi mai kasrat sai tilawat karta hai to wo jinnat aur in k shar sai mehfooz rehta hai. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 36) 2)Baal ghanay karnay ka wazifa: Agar kisi k baal ghanay nah on to surah e aal e imran ki ayat # 135 ko awal o aakhir salawat k sath 3 martaba parhtay huay baloo mai unglian phairin to baal ghanay ho jain gai. Ayat adhi parhni hai ﻔﺎﺴﺘﻐﻔﺮﻮﺍ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ ﻴﻌﻟﻤﻮﻦ 3)Kisi bhi jaiz maqsad mai qamiabi k lie pehlay 11 martaba darood sharif parhain aur phir 101 martaba ﻳﺎﺍﷲ ﻳﺎﺭﺤﻣﻥ ﻳﺎﺭﺤﻳﻢ ﻳﺎﻜﺭﻳﻢ ﻳﺎﺣﻰ ﻳﺎﻗﻳﻭﻢ parhain. (Ref: Naeem ul aamaal pg # 314) 4)Talib e ilmoo k lie namaz e shab akseer ka hokum rakhti hai zahan bohat taiz aur hafiza bohat acha ho jata hai. (ref : Wazaif e talib pg # 36) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: kia dua ma nabi ka wasta dana allow ha
Answer: Nabi(s.a.w.w) aur imam(a.s.) ka wasila bana kar dua karnay se dua qabool honay k qareeb ho jati he . (ref : website http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1346). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: sir i ne recently fcps ka exam diya hy result 4 5 din me ajaega plz i ko kamyabi k liye wazefa bataen
Answer: Talab e hajat k lie 686 martaba (Bismil,laah,hir Rahmaanir Raheem) parhein aur isi terha 676 martaba dorood(Allaa,humma sal,li ala muhammed wa aali muhammed) parh kar dua ki jay to INSHALLAH dua or khahish pori hogi.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 317)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: assalam o alaikum mera aap say swal hay is ka jwab dena zaror. may namaz nhi krta or may 16 years ka hoo. nimaz k sath bilkul shoq nhi hay. koi wazifa day. or har waqt ganay sunta ho or dramas dekhta ho wazifa day. allah app ko jazaie khair day
Answer: Imam jaffer sadiq a.s fermatay hain k: “ jo shaks namaz e ghafil rehta ho wo 7 baar sorah e mominoon(sorah# 23) ki tilawat karay tu baqaidgi se namazain perhne lagay ga” Note: Be-namazi k liay koe doosra shaks bhi ye amal ker skata hay. (Ref: Dunya o Aakhirat k 100 Preshaniyo ka Hal, pg#05). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)