Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Dua/Wazifa ( 1519 Questions)

  • Khoof door kerne k liay wazifa (3 Questions)
  • Aulad k liay wazifa (382 Questions)
  • Sawab (4 Questions)
  • Istekhara (84 Questions)
  • Ilaj (211 Questions)
  • Akhlaq k liay wazifa (2 Questions)
  • Aankh ki bemari ka wazifa (3 Questions)
  • Shadi k liay wazifa (706 Questions)
  • Depression k liay wazifa (43 Questions)
  • Rizq k liay wazifa (246 Questions)
  • Khoobsurati k liay wazifa (47 Questions)
  • Ehtilam se bachne k liay wazifa (51 Questions)
  • Imtehan main Kamyabi k liay wazifa (81 Questions)
  • Hafzay k liay wazifa (103 Questions)
  • Jadu or asaib ka wazifa (102 Questions)
  • Qarz ki adaegi ka wazifa (18 Questions)
  • Dard k liay wazifa (43 Questions)
  • Taubah (155 Questions)
  • Motapay main kami k liay wazifa (33 Questions)
  • Wazan Berhane ka wazifa (34 Questions)
  • Keel mohasay(pimples) k liay wazifa (39 Questions)
  • Ghussa or chirh chirha pan k liay wazifa (23 Questions)
  • Muhabbat k liay wazifa (209 Questions)
  • Qad Barhane ka wazifa (65 Questions)
  • Soojan ka wazifa (2 Questions)
  • Bars(safeed daagh) k liay wazifa (7 Questions)
  • Pareshani ka wazifa (139 Questions)
  • Neend kam karne ka wazifa (3 Questions)
  • Lambay baalo k liay wazifa (6 Questions)
  • Gumshuda Cheez ya Shaks k liay wazifa (23 Questions)
  • Taweez (4 Questions)
  • Baalo ki mazboti k liay wazifa (57 Questions)
  • Qaid Khane se nijat ka wazifa (4 Questions)
  • Hashraat-ul-Arz(Insects) k liay wazifa (1 Questions)
  • Zati Makan k liay wazifa (4 Questions)
  • Ziyarat e maqam e muqaddasa k liay wazifa (2 Questions)
  • Pitte ka ilaj (2 Questions)
  • Jinsi ilaj (117 Questions)
  • Bawaseer k liay wazifa (4 Questions)
  • Waswaas ka wazifa (80 Questions)
  • Mirgi k liay wazifa (1 Questions)
  • Dhoodh main izafe k liay wazifa (4 Questions)
  • Hepatitis k liay wazifa (3 Questions)
  • Ghar k husool ka wazifa (6 Questions)
  • Gunah se bachne ka wazifa (14 Questions)
  • Paishab k qatre ka wazifa (10 Questions)
  • Jinnaat ka wazifa (9 Questions)
  • Tazkiya e nafs ka wazifa (0 Questions)
  • Zakham or chuot k liay wazifa (1 Questions)
  • Nafsani problem ka wazifa (6 Questions)
  • Dushman ki halakat k liay wazifa (9 Questions)
  • Nazr e bad ka wazifa (11 Questions)
  • Qarz ki wusooli (2 Questions)
  • Rona se hifazat ka wazifa (2 Questions)
  • Laqwa (1 Questions)

  • Id: 15013
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Assalamu alaikum mulana muje left side kamar k aur shoulder mein baut pain otha hai aur zayadha waham otha hai please koran ki ayat bolo Shokran

    Answer: 1: Surah-e-Hamd ka 70 Baar Parhna har Qisam ke Dard ke liye Shifa hai balkay har Bimari ke liye Shifa hai. 2: Har dard k liay maqaam e dard per haath rakh ker surah e bani Israil ki ayat #105 ko 3 baar dam ker lain. Surah e Bani Israil ki ayat #105 ko likh ker apnay paas rakhnay say har qism k dard say nijaat mil jay gi. (Ref: Payam-e-Shifa, Page #189. + Nawaey saliheen page #317). [Updated on 01-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15050
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Aslam o alakum . me ny ik jga job k liay apply kia h. me chahti hn wahan job ho jaiy koi wazefa btain

    Answer: Surah e Zariyaat (surah #51) aur surah e alam nashrah (surah #94) k parhnay walay k liye Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziyadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee (ziada) hoti hai ye amal tajreba shuda hai. (Ref: Kitab payam e shifa, Mafhoom e Pg #236). [Updated on 12-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Video title:
    Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
    Maulana:
    Ali Raza Mehdavi
    Id: 15071
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Ghar waly rishty kelie nhi manrhy koi wazifa

    Answer: Aap Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay (box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hasb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref: Naway e saleheen, pg #352). [Updated on 08-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15074
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Assalamualaikum, kya hum Pajtan ke naam pe dua kar sakta hai, yani k Hazarat Hussain (A.S) k sadkay sy Allah say apni olad mang saktay hai?

    Answer: Jee han, Masoomeen (a.s) Allah ke khaas bandein hain. Lihaza agar Khuda ko unka wasta diya jaay to hamari dua jaldi qabul hogi. Aur Masoomeen Kay Waseely Se Dua Mangi jaye to Kabhi Rad Nahin Hoti. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0409/) https://fiqh.world-federation.org/question/masoomeen-sy-direct-dua-karna/ https://www.youtube.com/watch?v=xEqIcAPLWFY https://www.youtube.com/watch?v=v87_-ZaByms ). [Updated on 07-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15087
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Mere sasural walo SE kisi BT per larai hgye h.mai husbnd k khny per saas SE maafi b mangi lekin muje ghr SE nikal dia.ab saas ghr nai chor rahi h or husbnd chup kr ami k ghr milnay atay h

    Answer: Khandan main ittefaq k liye: Agar kisi khandan me kisi wajh se na ittefaqi paida ho gayi ho to Apas me ittefaq paida karnay k liye har namaz k bad rozana 11 martaba surah e anfal ayat #63 (wa allafa baina. . . . . . . .. . hakeem) ko parhay. (Ref: Naeem ul Aamaal, pg #363,364) [Updated on 26-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15097
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Asslamu alikum mera nam kahkashan h aur mere shohr ka kam bilkul bhi nhi chl rha h aur wo qarz tale dabe huye h ap kuch btaye iskye liye taki unka qarza ada ho jaye

    Answer: 1: Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 11 martaba durood parha jaye is ke bad men 141 martabah ye zikr parha jaaye. yaa razzaaqo urzuqnee(یَا رَزَّاقُ اُرْزُقْنِیْ). Riwayat main hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 baar surah e maeda ayat #114 ki tilawat karay osay wahan sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. رَبَّنَـآ اَنْزِلْ عَلَيْنَا مَـآئِدَةً مِّنَ السَّمَآءِ تَكُـوْنُ لَنَا عِيْدًا لِّاَوَّلِنَا وَاٰخِرِنَا وَاٰيَةً مِّنْكَ ۖ وَارْزُقْنَا وَاَنْتَ خَيْـرُ الرَّازِقِيْنَ. (Ref: naaem ul aamaal, pg #312 + Payam e shifa, Pg #232). 2: Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah #21) ki ayat #87,88 ko 442 martabah parhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi. 2: Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah #105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347). [Updated on 21-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15107
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Mara sir ma joon nhi pharti bhut arsa sa mara ghr ma saab ka sir ma joon pharti ha lakin mara sir ma koi joon nhi pharti kiya is ma koi nuqsan or pershani wali baat to nhi

    Answer: ye ache baat hay ,hosakta hay ke aap safaaie ka khayaal rakhte ho or aaghe bhi safaai ka khayaal rakhe inshallah aap mehfooz rahe ghe or is me koi pareshani ki baat nahe hay. [Updated on 18-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15112
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Kya Hum direct imam e zamana se dua mang sakte hai

    Answer: Masoomeen (a.s) Allah ke khaas bandein hain. Lihaza agar Khuda ko unka wasta diya jaay to hamari dua jaldi qabul hogi. Direct Masoomeen (a.s) se maangne me koi harj nahi hai LEKIN zehn me ye rahe ke asal Malik, dua ko sunne wala aur dene wala Khuda hai. Masoomeen (a.s) agar madad karte hain to Khuda ki ijazat se karte hain. (Ref: https://fiqh.world-federation.org/question/masoomeen-sy-direct-dua-karna/ ). (Ref: https://makarem.ir/main.aspx?reader=1&lid=4&mid=60045&catid=6478&pid=62027 ). [Updated on 12-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15121
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Kya kare ki shohar apke pyaar mein hojaye rozi bhot acchi hojaye duae amal

    Answer: 1: Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat 7 ko 7 martaba parha karain is se donoo me bai misal mohabbat qaim ho jay gi.(Ref: Naway Saleheen, pg #404). Agar koi jaiz mohabbat hasil karna chahe to wo surah e maaeda ayat #54 ko kisi meethi cheez per 100 martaba dam kar k ager kisi ko kehlain to mehboob ho gaae ga.(Ref: Tajalliyaat e quraan, pg #41). 2: Surah e Zariyaat(surah #51) aur Surah e alam nashrah(surah #94) k parhnay walay ke liye Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee(ziada) hoti hai ye amal tajarba shuda hai.(Ref: Payam e shifa, Mafhoom e pg #236). [Updated on 08-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15137
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Sir salamunalikum mera sawal hai k kya Hum 14 masomen se direct dua mangsakte hai please reply me

    Answer: Masoomeen(a.s) Allah ke khaas bandein hain. Lihaza agar Khuda ko unka wasta diya jaaye to hamari dua jaldi qabul hogi. Direct (barah e rast) Masoomeen(a.s) se maangne me koi harj nahin hai LEKIN zehn me ye rahe ke asal Malik or dua ko sunne wala aur dene wala Khuda hai. Masoomeen(a.s) agar madad karte hain to Khuda ki ijazat se karte hain. (Ref: https://fiqh.world-federation.org/question/masoomeen-sy-direct-dua-karna/). [Updated on 03-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Related:

    Audio Masail:

      NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

    Fiqhi Books

    Istiftaát
    Read Online!
    Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
    Wasiyat Nama Read Online!
    Terminology of Fiqh Read Online!