Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Dua/Wazifa ( 1519 Questions)

  • Khoof door kerne k liay wazifa (3 Questions)
  • Aulad k liay wazifa (382 Questions)
  • Sawab (4 Questions)
  • Istekhara (84 Questions)
  • Ilaj (211 Questions)
  • Akhlaq k liay wazifa (2 Questions)
  • Aankh ki bemari ka wazifa (3 Questions)
  • Shadi k liay wazifa (706 Questions)
  • Depression k liay wazifa (43 Questions)
  • Rizq k liay wazifa (246 Questions)
  • Khoobsurati k liay wazifa (47 Questions)
  • Ehtilam se bachne k liay wazifa (51 Questions)
  • Imtehan main Kamyabi k liay wazifa (81 Questions)
  • Hafzay k liay wazifa (103 Questions)
  • Jadu or asaib ka wazifa (102 Questions)
  • Qarz ki adaegi ka wazifa (18 Questions)
  • Dard k liay wazifa (43 Questions)
  • Taubah (155 Questions)
  • Motapay main kami k liay wazifa (33 Questions)
  • Wazan Berhane ka wazifa (34 Questions)
  • Keel mohasay(pimples) k liay wazifa (39 Questions)
  • Ghussa or chirh chirha pan k liay wazifa (23 Questions)
  • Muhabbat k liay wazifa (209 Questions)
  • Qad Barhane ka wazifa (65 Questions)
  • Soojan ka wazifa (2 Questions)
  • Bars(safeed daagh) k liay wazifa (7 Questions)
  • Pareshani ka wazifa (139 Questions)
  • Neend kam karne ka wazifa (3 Questions)
  • Lambay baalo k liay wazifa (6 Questions)
  • Gumshuda Cheez ya Shaks k liay wazifa (23 Questions)
  • Taweez (4 Questions)
  • Baalo ki mazboti k liay wazifa (57 Questions)
  • Qaid Khane se nijat ka wazifa (4 Questions)
  • Hashraat-ul-Arz(Insects) k liay wazifa (1 Questions)
  • Zati Makan k liay wazifa (4 Questions)
  • Ziyarat e maqam e muqaddasa k liay wazifa (2 Questions)
  • Pitte ka ilaj (2 Questions)
  • Jinsi ilaj (117 Questions)
  • Bawaseer k liay wazifa (4 Questions)
  • Waswaas ka wazifa (80 Questions)
  • Mirgi k liay wazifa (1 Questions)
  • Dhoodh main izafe k liay wazifa (4 Questions)
  • Hepatitis k liay wazifa (3 Questions)
  • Ghar k husool ka wazifa (6 Questions)
  • Gunah se bachne ka wazifa (14 Questions)
  • Paishab k qatre ka wazifa (10 Questions)
  • Jinnaat ka wazifa (9 Questions)
  • Tazkiya e nafs ka wazifa (0 Questions)
  • Zakham or chuot k liay wazifa (1 Questions)
  • Nafsani problem ka wazifa (6 Questions)
  • Dushman ki halakat k liay wazifa (9 Questions)
  • Nazr e bad ka wazifa (11 Questions)
  • Qarz ki wusooli (2 Questions)
  • Rona se hifazat ka wazifa (2 Questions)
  • Laqwa (1 Questions)

  • Id: 15246
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: sir exams ke liye koi wazifa bata dein.

    Answer: Imtehan main kamiyabi ke liay: Imtehaan main aasan paper k liay center (imtehaani markaz) jaanay say pehle is aayat ko 7 martabah parh kar jaayen or is ayat say pehle or baad men 3 martabah salawaat parhen. ye Surah Anfaal (surah #8, parah #9) ki ayat #62 hay: Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul Aamaal, Mafhoom e pg #352,55). Hafizay ke liay: Motabar riwayat k mutabiq Surah e Taha ki ayat #25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qala qama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref: Naway e Saleheen, pg #326). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15255
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: asalamoalikum sir mere bhai ko 4 days se still 106 temperature ha kam nahe horaha ha or wo kuch kah be nahe raha koi wazifa bata dein plz..

    Answer: 1: Surah e ambia ki ayat #69,70 ko pani par 41 bar parh kar mareez ko pilaain, bukhar k lye mujib e shifa hay. 2: Hazrat Rasool(s.a.w.w) ka irshad hay k : Bimar apna ilaj sadqa dainay say karay.(Ref: Naway e saleheen, pg #309,313). Note: aap kisi doctor se ruju bhi karain. [Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Video title:
    Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
    Maulana:
    Ali Raza Mehdavi
    Id: 15368
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Mjy Na periods ni aty jis ki waja sy shadi ni ho paa rhi kindly mjy koi wazifa btaiy

    Answer: Is hawale se aap kisi lady doctor se ruju karen. or allah se muhammad wa aale muhammad ka waasta dekar dua kare inshaallah aap ki dua qabool hoghe. [Updated on 29-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15472
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Salam..Mera ye sawal hai ki agar pregnant lady pe bura asar hogaya ho toh kya karna chahiye..bure asar se tabyath kharab rehti hai unki kuch

    Answer: Hazrat Imam Jafar Sadiq a.s ka Irshaad hai k jo koi aksar Surah Jin ki Tilawat kare ose Qaum ki Ankhon (yani Nazar e bad), Jadoo, Makr o faraib se koe nuqsaan na hoga. (Ref: Kitab Payam e shifa, pg #83). [Updated on 10-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15489
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Asslam o alikum sir meri shadi ko 7 sl ho gy hai aur mery 2 bachy hain achanak mery nafs ki sakhti khtm ho gai h aur nafas ik sid pe ho gia hai please koi illaj bta den

    Answer: Homoeopathic Medicine damiana pentarkan drops(Made in Germany Dr. willmar schwabe karlsruhe) subah, dopeher, raat 10 qatray aik ghoont pani main daal ker istemaal karain insha allah jald hi tamaam jinsi bimariyan khatam ho jay gi. Aur uzw e tanasul (penis) ke terhe (crookedness) hone se koe faraq nahin perhta Q k wo sharamghah main jane k baad khud hi seedha ho jata he. (Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia, writer doctor sibt e shabbar zaidi, wakeel e Ayatullah muntazari, part #1, pg #110-111) [Updated on 21-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15534
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: As salam alaikum Please koi dua bataye jisse meri job lag jaye permanently.

    Answer: Surah e Zariyaat (surah #51) aur surah e alam nashrah (surah #94) ke parhnay walay k lie Khair o barkat mai izafa aur rizq mai ziadti hoti hai aur is k ahl o ayal ki rozi wasee (ziada) hoti hai ye amal tajrba shuda hai. (Ref: Kitab payam e shifa, Mafhoom e page #236). [Updated on 18-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15560
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Asalamu alikum, maine kassam khaye the k Allah k kassam mai ye bura kaam nahii karoo ga agar maine ye kaam kiya to Allah jo chahiye mujhe karoo Lakin ye kassam tod diya maine Abh kya karoo mai

    Answer: Jab koi shakhs qasam ki tamam sharait ke sath qasam khaye keh falan kaam anjaam de gaa ya tark kare gaa maslan qasam khaye keh roza rakhe gaa ya tambakoo ko istemaal nahin kare gaa to agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hai aur zarori hai keh kaffara de. Qasam ki chand shartein hain: 1. Qasam khane wala balig or aaqil ho or apne irade aur ikhtiyar se qasam khaye, 2. Qasam khane wala Jis kam ki qasam khai jaye zaroori hai ke wo haram or makrooh na ho, 3. Qasam khane wala Qasam men Allah ka aysa naam le jo kisi or ke liye istemal na hota ho, 4. Qasam khane wala Qasam ke alfaz zaban per laye, 5. Us qasam per amal karna mumkin ho. lihaza Agar qasam ke waqt ye tamam sharait maujood hon aur qasam khaye jaye to us qasam pe amal karna zaroori hai. agar baad mein jaan bhoojh kar us qasam ke khilaaf amal kare to woh gunahgar hai aur zaroori hai keh kaffara de, yani das (10) faqeeron ko pait bhar kar khaana khilaye ya unhein libaas pehnaaye aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zaroori hai keh teen(3) din musalsal roze rakhe. Aur Agar in tamam sharait men se koi aik bhi shart maujood na ho to ye qasam durust nahin hogi aur na hi kaffara wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2633,2634). [Updated on 27-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15581
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Pasand ki shadi kliay wazifa

    Answer: Shadi k liay wazifa: Rasool(saww) nay famaya: Surah e yaseen ki tilawat karne me, 10 barkatain hain (in mai sy aik ye hai k) gair shadi shuda, shadi shuda ho jaega. (Ref:book dunya-o-akhirat ki 100 pareshanio ka hal pg#18). [Updated on 01-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15618
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: Assalamlaikum mere pa hum mara family wala Jadu Kara Diya akka nhi badna bolka aur kamiyab nhi hona bolka Mai apni zindagi ma bahot pareshan hu kya karo Mai ab plz bola

    Answer: 1: Dua e sabasab ko jadu batil karne ki niyat se adhi raat k baad parhna munasib hay. Ye dua buhut jaldi asar karti hay. jin afard par jado kiya gaya hai wo agar is Dua ko parhen to Inshallah un par se jado ka asar batil ho jaey ga. 2: Depression k izalay ke liay 2000 baar is zikr ka parhna gham ko door kar deta hai “Sahlan bi fazlika yaa aziz”( سَهْلاً بِفَضْلِکَ یا عَزیزْ). (Ref: Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg #92-93. + Tohfat-ul-Awaam, pg #414. + https://www.duas.org/sabaasab.htm ). [Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Id: 15682
    Mujtahid:
    Date: 23 Apr,2024

    Question: aslam o alikm men bhut parshan hun mera hzbnd iklota ha phele mera miscarriage hu gia or ab muje pani ki tehlian han brai mehrbani muje koi wazifa den kh pani ki tehli khatam hu jai or allah ullad jesi nemat se nawaze

    Answer: 1: Hazrat Rasool S.A.W.W. k irshad hay k : Bimar apna ilaj sadqa dainay say karay. 2: Har qism ki beemari se shifa k leay agar mareez k kaan main surah e mominoon surah #23 ayat #115 to 118 parhi jaey tou har qisam ki beemari khatam ho jaye gi. 3: Sheikh bihae farmatay hein k mandarjah zail nuskhah main ne 900 aurtoon k liay tajweez kia or sab ki sab sahib e aulaad hogaen or wo ye nuskha ye hay : Surah e ra’ead, surah# 13, ayat # 31 ko khool ker likhay. وَلَوْ أَنَّ قُرْآنًا سُيِّرَتْ بِهِ الْجِبَالُ أَوْ قُطِّعَتْ بِهِ الْأَرْضُ أَوْ كُلِّمَ بِهِ الْمَوْتَىٰ بَل لِّلَّهِ الْأَمْرُ جَمِيعًا أَفَلَمْ يَيْأَسِ الَّذِينَ آمَنُوا أَن لَّوْ يَشَاءُ اللَّهُ لَهَدَى النَّاسَ جَمِيعًا وَلَا يَزَالُ الَّذِينَ كَفَرُوا تُصِيبُهُم بِمَا صَنَعُوا قَارِعَةٌ أَوْ تَحُلُّ قَرِيبًا مِّن دَارِهِمْ حَتَّىٰ يَأْتِيَ وَعْدُ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ لَا يُخْلِفُ الْمِيعَادَ Is ayat ko maqta yani torh torh ker likain maslan (و ل و ا ن ق ر آ ن) phir is ko lifafay main band ker k aurat apnay pehlo k sath bandh lay , insha allah jald sahib e aulad ho jaey gi. 4: Ya hamila honay k lie rehaan k 7 pattoo (leaves) par surah mominoon surah # 23 ki ayat # 14 ko likhain aur aik aik kar k 7 martaba kha lain is tarah 7 din karain inshallah hamal qaim ho ga. (Ref: book payam-e-shifa, pg #214. + Naway e Saleheen, pg #309. + Dunya o akhirat ki 100 preshaniyon ka hal, pg #94. + Aasar e Ahlbait (a.s) pg #188). [Updated on 05-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

    Related:

    Audio Masail:

      NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

    Fiqhi Books

    Istiftaát
    Read Online!
    Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
    Wasiyat Nama Read Online!
    Terminology of Fiqh Read Online!