Question: Aslam u alikum... Sir.. mera swal hai nmaz padte waqt mera dyaan nimaz mein ni jata....kbi kahan kbi kahan plz btao
Answer: Namaz me dehaan k lye halat qiaam me apni nazar sajdegha per , halat ruku me dono qadmo k darmiyaan aur jab baitha ho to apne daman per nigha rakhe . ye chese kise ki namaz me tawaju paida kare ghi aur is k shak ki halat me kami ka sabab bane ghi. .(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 76, sawaal # 4 pg #42) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: hajj k din wo kon si 2 namaz hy jo mila kar parhi jati hy ak time my plzzzzz answer
Answer: zuhar o asar ki wajib namaz hai.(Ref : manasik e hajj , topic # woqoof e Arafaat , pg # 134 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).
Question: NAMAZ kis zaban ka word hai???
Answer: Namaz farsi zaban ka lafz hay.
Question: namaj ki bad sar pe hath rakh kar kon si tasbi pada jata hai?
Answer: Namaz k baad tasbih hazarat Fatima Zahra(a.s) in teqibaat me se hai jin ki buhat ziyada taqeed aai hai.ye tabih is tarteeb se perhne chaiye :34 dafa allah o akber, 33dafa alhamdolillahe aur 33dafa subhanallah. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1109 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Meaning of namaz in Farsi please
Answer: The meaning of namaaz in farsi and in urdu is worship and obedience.
Question: sawal, kitni namaze waajib hain. tafseel se jawaab batayen.
Answer: 5 Waqt ki Namaaz Wajib hai: Fajar ki 2 Rakaat, Zohar aur Asar ki 4 Rakaat, Maghrib ki 3 Rakaat aur Isha ki 4 Rakaat. (Ref: Ayatullah Sistani Tauzeehul Masail, Pg#122)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalaamo alaikum agha hamne kai bar pahle bhi sawaal kiye the uske jawaab abhi tak nahi diya aap ne or hamara ek or sawaal hai namaaz me kitne rukn wajib hai or kon kon se??
Answer: Wssalam o alykum, Namaaz ke wajibaat 11 hain, or arkaan 5, niyat, takbeer, qayaam, rukoo or sajood. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part #1st , Maslah # Wajibaat e Namaaz , eidition # 1st , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Mujhe pacho waqt k namaj k surra,niyat,dua,nahi aata is liye mujhe pacho waqt k namaj k niyat,surra,dua bhaje taki m likh lo or namaj m padru or jumma k v
Answer: Niyat : Ager ap ko ye maloom ho ke ap ye namaaz – masalan fajar – Allah Taala ka taqarrub hasil karne ke liye or apni pasti ka Us Zaat e Wala ke huzoor izhaar karne ke liye phar rahe hai to ye maloom hona hi niyat hai, in alfaaz ( main 2 rakat namaaz e fajar pharta hon qurbatan lil-llah yani Allah ke liye) ko zabaan per lana zarori nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 930). Sura : or pancho namazo ki 1st or 2nd rakat main pehle sura e al-hamd (sura no 1) phir is ke baad Quraan e Majeed ke suroo (siwaae sura no 93, 94, 105, 106 ke) main se koi bhi ik mukammal (ehtyaat wajib ke madd e nazar) sura pharain, or namazo ki 3rd or 4th rakat main 1 martaba sura e al-hamd ya 1 martaba tasbehaat e arba-a or beter hai ke 3 martaba tasbehaat e arba-a phare (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 965 , 992). Dua : koi bhi dua phari ja sakti hai lehaza is ke liye duaao ki kitaboo ki taraf ruju karain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1106 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: aslaaam-0-alykum mera sawal hai agr koi hindu ladki namz padhti hai to kya uski namz qubool nhi hogi? kya use uske liye islam apnana jaruri hai
Answer: Assalam o alykum,islam k baghair namaz sahi nahi hogi. (Ref : Ayat ul Allah Sistani(d.b) , Urwat ul wusqa , jild # 2 , topic # namaz ke wajibaat , Mafhoom e pg # 150). Update on dated 05-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Namaz e tarave ke niyat btaye
Answer: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain.