Question: Mere nana foot hogaya he uski qaza namaz ki taadad ka pata nai koi hal bataen jis se uski sari qaza asani se parhi jayen koi amal bataen
Answer: Aap apne marhoom ki qaza namazain kud bhi phar sakte hain or ujrat per bhi pharwa sakte hain. Or jahan tak namaaz ki tadaad ki baat hai to ager " kam" tadaad ke mutabiq namaaz phar lain ya ujrat per pharwa dain to kafi hai, agarche behtar hai ke itni tadaad main pharain ya pharwaain ke yaqeen hogaae ke un ke zimme koi namaaz nahin rahi. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1364,1371) [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 40 din poory hone k baad Baal na utarne ki wja se namaz or roza ho jata h?
Answer: Jee han, Namaz, roza aur baqi jinti ibadtain hain ye sab ki sab saheeh shumaar hongi. Aur Baal na katne se namaz, roza wagera par koi faraq nahin parta. (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: maghrib sai isha ka time mai sona kaisa hai
Answer: Isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs ke liye aadhi rat tak hai. aur rat ka hisab suraj guroob honay ki ibteda sai tuloo e fajar tak hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #727). (Note: Namaz e magrib aur isha ke darmiyan sona jaiz hai ). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agar sajday ka zikr parhtay huway paun ka angutha khud hi hil jayey to namaz dubara parhni hogi ya dobara zikr parhna kafi hoga??
Answer: Agar jan boojh kar na uthaya ho aur khud ba khud uth jaye to namaz batil nahin hogi. aur zaroori hai dobara use zameen par rakh kar zikr parha jaye. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1041). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya zohar asr , magrib Isha ek saath pardh saktay hai , pardhnay ka want kya hai
Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Ahle sunnat ki mashoor o maaroof kutub ‘sunan abe daood’ , ’jaame termeze’ jild 1, pg #109. aur sahe muslim ki riwaayat hai : rasool allah ne namaaz zohar aur asar ko aur namaz maghrib aur esha ko madine me baghair khouf aur barish k aik saath parha yani aik namaz parne k baad dosari namaaz parhi. Aur rasool(s.a.w.w) ne farmaaya me ne is liye aisa kiya take meri ummat ko takleef na ho. (Ref: shiat ka muqadma, moulaana hiussain ameeni, page #226). (Note: Jee bilkul aik sath parh sakte hain ). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #718,723,724). [Updated on 06-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Azan ka hukm kb hua
Answer: Hijrat ke pehly saal men. (Ref: 14 Sitare, Syed Najam ul Hassan Kararvi, page #64). [Updated on 10-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum mera sawal ye hai ke jo asar aur isha me gair sunnat ralat hoti hai , asar me 4 gair sunnat aur isha me hhi 4 gair sunnat to kya wo gair sunnat pdhna zruri hai. Asar me srf 4 farz nhi pdh skte aur isha me 13 rakat nhi pdh skte?
Answer: (Note: Is website per fiqha e jaffaria (shia mazhab) k mutabiq jawabaat diay jatay hain. namaz zohar ki wajib srif 4 rakat or namaz asar ki wajib srif 4 hai or isha ki bhi wajib srif 4 rakat hai or in ke ilawa rakaat perhna wajib nahe hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no717 ) [Updated on 23-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it compulsory for a women to hear azan for offering nimaz at her home
Answer: namaz perhne ke lie azaan ka sunna wajib nahe balke jab insaan ko yaqeen hojaae ke namaz ka waqt dakhil hogaya hai wo namaz perh sakta hai ya do adil mard namaz ke waqt ke dakhil hone ki khabar dede balke kise aise shaks ki azaan ya gawaai per bhi iktifa kia jasakta jis ke bare me jaanta ho ke ye waqt ka bare shiddat se khayaal rakhta hai jab ke is ki baat per itmenaan bhi aae. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #730). [Updated on 24-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya cat palna Jaiz hai or is kay Baal se namaz batil hojati hai? Please reply
Answer: 1: cat (Billi) paalna jaiz hai. 2: Agar libas par billi ke itne kam baal maujood hon jisay nah hona shumaar kia jaey jaisay ke 1, 2 ya 3 baal maujood hon to namaz durust hay lekin agar is se ziyada baal maujood hon to namaz batil ho jati hai. (Ref: Mujtahid se pouchey gaey sawalat, part #3, sawal #169, pg #75). (Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #995). [Updated on 29-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum , kya Aurtein zohr k namaaz 12:30 bajte hi padh skti hai????
Answer: Agar namaz ka waqt dakhil ho gaya ho to namaz ko us k awwal waqt main perhna afzal hai. Aur Insan namaz main os waqt mashghool ho sakta hai jab usay yaqeen ho keh waqt dakhil ho gaya hai. karachi ke ufaq ke mutabiq namaz zohr ka waqt kbhi dupair (12:30) se khuch phele or kbhi khuch baad me hota hai.(namaz ki timing ke lie clender anjumane hussaini se istefada kia jasakta hai)(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #730.720). [Updated on 13-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]