Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Namaz ( 74 Questions)


Id: 14849
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can a women offer her prayer without brazier if rest of the dress is complete.

Answer: Zarori hai ke Aurat namaz ke waqt apna tamam badan hatta kay sar aur baal bhi dhaanpay aur aihtiyat-e-wajib ye hay kay apnay aap say bhi chupaaey, lihaza agar aurat chadar(choti ya bari) is tarah pehnay kay usay apna badan nazar aaraha ho to is main bhi ishkaal hay albatta chehray ka jitna hissa wuzu main dhoya jata hay aur kalaiyoon tak haath aur takhnon tak paaon ka laazmi hissa dhanpna zaroori nahin hay laikin ye yaqeen karnay kay liye kay us nay badan ki wajib miqdaar dhaanp li hay zaroori hay kay chehray ke atraaf ka kuch hissa aur kalaiyoon aur takhnoo say nichay ka kuch hissa bhi dhaanpay.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatllah Sistani(d.b.) edition #42, maslah #777). (Note: asal nmaz pe aurat ke lie pura badan chupana hai lehaza Brazier pehnna zaroori nahin hai is ke bager bhi namaz sahi hai). [Updated on 30-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15382
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar quran padnay ki waja sa namaaz tut gaye imam nay namaaz dunbara padahyee kya muktdiyo ko taqbeer dubara padna hai ya nahi????

Answer: Namaz men kisi bhi jagah par quran parhnay aur dua karne me koi haraj nahin or namaz me kisi bhi zaban may dua mang saktay hain is se namaz batil nahin hoti lakin ehtiyaat mustahb (yani behtar) ye hay k arbi kay alawa kisi zaban men nah ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1122). (Note: Agar Imam sahb kisi wajah se dobara namaz parha rahe hain to muqtadi ko bhi dobara takbeer kehni hogi). [Updated on 29-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15486
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaze Fajar ke bad sona gunah he ya mana he

Answer: Jee nahin, gunah nahin hai albatta riwayaat men ye cheez waarid hui hai ke namaz e fajr ke waqt se sooraj nikalne ke darmiyan dua or ibadat men mashgool rehna mustahab hai. (Ref: kitab masail-us-sharaiya tarjum wasail-us-shia, part #4, baab #36, pg #379,380,381). [Updated on 20-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15622
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya namaz e shab ka sawab hadya kar sakty hai Ahlebet a.s ko

Answer: Jee han, kar sakte hain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, pg #279). [Updated on 11-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15623
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya namaz e shab ka sawab hadya kar sakty hai Ahlebet a.s ko

Answer: Jee han, kar sakte hain. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, pg #279). [Updated on 11-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15839
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia fajar k Azan k foran bd nmaz prhi jaskti Hy ?

Answer: 1: Subah ki namaz ka waqt: subah ki azaan ke kareeb masshriq ki taraf se aik safedi upar uthti hai jise fajr-e-awwal kaha jaata hai jab ye safedi phail jaaye to fajr-e-duwwum aur subah ki namaz ka awwal waqt hai aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai. 2: Agar yaqeen ho jaey ke namaz ka waqt dakhil ho gaya hai to namaz parhi jasakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #729,903). [Updated on 08-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15947
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran me namaz ka hukam kitni mertaba Aya ha

Answer: Quraan me taqreban 80 maqamaat par wazahat ke sath namaaz ka zikar aaya hai aur is ke alaawa aur bhi aayaat hai jin me namaaz parhne ka hukum milta hai. (Ref: www.thefatwa.com). [Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16240
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agha Jan muje allergy ki waja s naak s pani behta h or Duran namaz kfi pareshni hoti h to kya naak rumal s saaf kia ja skta h

Answer: 1: Jab insan namaz main koi wajib zikr parhney main mashghol ho to zaroori hai ke us ka badan saakin ho aur jab mustahab zikr main mashghol ho tab bhi ehtiyat e lazim ki bina par yahi hukum hai aur jis waqt wo qadre aage ya peeche hona chahe ya badan ko dayein ya bayein jaanib thori si harkat daina chahe to zaroori hai ke us waqt kuch nah parhay. 2: Jee rumal se saaf kiya jaa sakta hai Q ke Hathon aur ungliyon ko Al-hamd parhte waqt harkat daine main koi haraj nahin agarche ehtiyat e mustahab yeh hai ke inhain bhi harkat nahin di jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #952,954). [Updated on 04-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 20363
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: q1] Can we prostrate on anything made of jute (which is a packing material grown our of earth but is not used for eating and wearing)? q2] If we dont read Qunot without raising our hands will it be considered as Qunoot? q3] Can we read joint Taqibat after finishing both prayers in case we are offering Zuhrain and Magribean?

Answer:

Id: 20829
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salam.mufti sahab mai aik arsay say saudi arab may hnu yahan par namaz k baray may mairay zehen may kai sawal hai pehla sawal ya pochna chahta hnu yahan par hum masjid jatay hain hum agar sunnat b parhtay hain to saudi log a kar sat may karhay ho jatay hain keya in ka ye tariqa teek hai ka nahe.wo apne khayal jummat k sat parhna chahtay hain.dusre bat sar par topi belkul nahe raktay s ka keya hukum hay quran aur hadees main.

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!