Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Namaz ( 74 Questions)


Id: 12409
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Isha ki namaz kam se kam kitni padni hai

Answer: Rozana k paancho farz namazo ki rakaat ki kul tadaad 17 hay isha ki 4 rakat namaz ferz hay or 2 rakat namaz nafil mutahab sunnat hay jo k ehtiyaat e wajib ki bunyaad per baith ker perhni chahiay. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzihul masael maslah#717 ka muqadma or maslah#7520). [Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12476
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz kis jaban ka word hai

Answer: Namaz farsi zaban ka lafz hay.(Ref: http://ur.wikishia.net/view/%D9%86%D9%85%D8%A7%D8%B2). [Updated on 22-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12708
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa, muje shukerana ki nafal ka tareqa bta dain, i m taqalud Agha sistani

Answer: Bismehi taala, shukrane ki namaz ko namaz e fajar ki tarh hi padha ja sakta he aur is ka koi khas tareeka mazkoor nahi he (ref: tawzihul masail Aytulla Seestani (d.b.) masaala #.774) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12908
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz mn esa kia h Jo uski takeed ki gai h

Answer: Namaz deeni aamal main se behtareen amal he. Agar ye baargah e ilaahi main qabool ho gae tu doosri ibadaat bhi qabool hojain gi or agar ye qabool nah hoe tu doosray aamal bhi qabool nahi hoongay. Huzoor nabi e kareem (s.a.w.w) ka irshad hay k “ jo shaks namaz ko ehmiyat nah day or osay mamooli cheez samjhay wo aakhirat main azaab ka mustahiq hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, pg# 121 ). [Updated on 28-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13263
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sardi ke mausam mein asr aur maghreb ke darmiyaan kitna time rahana chahie.

Answer: Namaz e zuhar aur asar ko aik sath parh saktay hain Namaz e zuhar aur asar ka waqt zawal e aftab sai guroob e aftab tak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition 39th, maslah #718). [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13727
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia hum maghrib ki qaza namaaz isha ke saath parh sakte hain?

Answer: 1: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain. maghrib or isha ki namaz qaza hoti hai. Mukhtaar shaks k liay qaza ka waqt aadhi raat hai aadhi raat sai muraad ghuroob e aftaab sai fajar tak ka waqt hota ye mukammal raat kehlaati hai tu is ka adha kar lia jaaye wohi adhi raat kehlaaye gi or namaz e maghribain usi waqt qaza hogi. or wo ashqaas jo kisi uzr ki bina par aadhi raat sai pehle namaz na parh sakay tu un k liay namaz ka waqt fajar tak rehta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #41, Maslah #723,724) 2: Ahle sunnat ki mashoor o maaroof kutub, sunan abe daood , jaame termeze, jild 1, pg :109 aur sahe muslim ki riwaayat hai : Rasool(s.a.w.w) ne namaaz zohar aur asar ko aur namaz maghrib aur esha ko madine me baghair khouf aur barish k aik saath parha yani aik namaaz perne k baad doseri namaaz perhi. Aur rasool(s.a.w.w) ne farmaaya me ne is lie aisa kiya take meri ummat ko takleef na ho. (Ref: Shiat ka Muqadma ,Moulana Hussain Ameeni, pg :226) [Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13763
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum mera sawal yeh hai ki maghrib me kitni badi surat padhi jani chahiye

Answer: Tamam Namazon ki pehli Rakat me Al-Hamd ke baad Surah Qadr, aur dosri Rakat men Al-Hamd ke baad Surah Ikhlas parhna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 39th Edition, maslah #1005) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13809
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ghusl k begir namaz pari ja sakti hai

Answer: 1: Do cheezon Insaan say mujnib ho jata hay. 1) jima (yani intercourse) say or 2) mani (yani semen) k nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat (yani lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat (lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b.), Edition 39th, Maslah #344) 2: Agar Insan mujnib ho jaye to namaz aur is jesi ibadton ke liye gusl karna wajib ho jata hai. Faqat sharamgaah ko dhoo laina ya kapray ko dhoo laina kaafi nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #356,119). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13951
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam! Agar namaz parhnay k baad pata chalay k sir k kuch baal dikhai de rahay thay/ ya hijab se kuch baal bahar niklay huay thay to kia namaz dobara ada krni hogi?

Answer: Jee nahin,Aagar namaz ke baad pata chalay to namaz saheeh hai, namaz ka dobara parhna zaroori nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Mafhoom e maslah #780) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13999
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Koi insan Namj Bohot Ahista Ahista Pare To kya wo durust H ?

Answer: Jee han, Yahi tariqa sab se acha hai. Q ke Aik din Nabi e kareem (s.a.w.w) masjid men tashreef farma the ke aik shakhs masjid men dakhil howa aur namaz pahrne men mashgool ho gaya lekin ruku aur sujood mukammal taur par na baja laya, Is par Aap(s.a.w.w) ne farmaya " Agar ye shakhs is halat men mar jaye jabke is ke namaz parhne ka ye tariqa hai to ye hamare Deen par nahin mare ga " Pas Insan ko khayal rakhna chahiye ke namaz jaldi jaldi na parhe aur namaz ki halat men khuda ki yaad men rahe aur khushu-o-khuzu aur waqar aur yaksooi se namaz parhe aur ye khayal rakhe ke kis hasti se kalam kar raha hai aur apne aap ko " Khuda wande aalam " ki azmat aur buzurgi ke muqabile men "Haqeer aur Nacheez samjhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail Edition 42, Page #121 ) [Updated on 29-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!