Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Namaz ( 74 Questions)


Id: 9246
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A mere sawal ye hai k jaise banda farz parhne k baad dua mangta hai aur phir sunnat aur nawafil parhta hai to kiya sunnat aur nawafil parhne k baad bhi dua mangna lazim hai.

Answer: Namaz k baad zikr,dua or quran majeed perhna mustahab hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1109). Update on dated 20-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9296
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aurat ka khule asman k neeche namaz parhna thek h ?

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #777). Update on dated 18-01-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9414
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nimaz kab aur halat me ham torrr sakte hain?

Answer: Maal ki hifazat or maali ya jismani zarar se bacne k liay namaz torhne main koe haraj nahi hay balkeh wo tamaam deeni or dunyavi kaam jo namazi k liay ehem hoon, on k liay namaz torhne main koe haraj nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1146) Update on dated 25-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9492
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Meri tang fracture h or usko straight rkhne bola gya h toh na main khada ho skta hu na hi kursi pr baith pata hu toh kya in halaat main namaz kaise ada kru

Answer: Aap beth ker namaz parhen or agar beth ker nahi parh saktay to daen pehlo let ker namaz parhen or yeh bhi mumkin nah ho to baen pehlo let ker namaz parhen or agar yeh bhi mumkin nah ho to pusht k bal let ker namaz parhen is tarah k talwy qiblay ki taraf hoon. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #958). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9495
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum... sir mujhy puchna tha ki orat namaz parh hari ho or mard usky pichy aky beth jaye to kya uski namaz ho jayegi

Answer: Aap ki namaz sahi hay. (Ref: Touzihul masael, maslah#874). Update on dated 10-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9601
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz k tareeke

Answer:

Id: 9818
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hospital me job krne wale nurse namaz hospital me ada kr skti h kya

Answer: Jee haan perhi jaa sakti hay. Hospital ho ya koi bhi jagah ho wo wajib namaaz ko tark nahi kia jasakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #122). Update on dated 11-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9869
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Mera Sawal he ke Bina koi Sharae uzar ghar par yaa dukan par namaz padna Gunaah-e-Kabira hai

Answer: Jee nahi, namaz parhna wajib hai us ko tark nahi kia jaa sakta lekin masjid mai namaz parhna mustahab hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39, maslah#880). Update on dated 23-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10188
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: نماز میں دل.لگے اور قضآ نہ ھو کیا کویی عمل ھے پلیز بتایے

Answer: Imam sadiq farmatay hain jo 7 baar surah mominoon ki tilawat karay tu baqaidgi say namaz parhnay lagay ga.(Ref:dunya o aakhirat ki 100 pareshanio ka hull). [Updated on 14-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10898
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please teach me how to offer namaz.?

Answer: please watch this link: https://www.shiatv.net/video/b23dc59e6445191203a3 . Update on dated 09-12-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!