Question: ek misqale shari kine giram hota hai
Answer: Aik misqaal e sharaii ya 18 nakood(18 chhane) taqriban 3 sahi 1 bata 2 giraam(3 1/2) hota hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, shar`aii oozaan or a`ashari oozaan.(Khuda aap ki tawfiqaat men izafa farmaye).
Question: meri namaz me tara tarah ke khaya ata hai ham kya kare
Answer: Surae jumma rozana pabndi sy parhnay sy shetani waswaso sy nijat mil jati hai.(ref:dunya-o-akhirat ki 100 prae jumma ko areshanio ka hal,pg#52). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Arfa ka din konsa ha eid ul fitr say pehly
Answer: 9TH zilhajj ka din arfa ka din hy . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1718 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia quran pak ki talawat kr k imam hussain AS ya masoomen ko hadya kar sakty han?
Answer: Jee han har mustahab or wajib ibadat ka sawab kisi bhi zinda ya marhoom ko hadya kia ja sakta hay. (Ref: Minhajus saliheen, part#1, pg# 279). [Updated on 03-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya bina wazu Ke darood shareef padh sakte hai.........kya bina wazu Ke
Answer: bagar wazu kay perha ja sakta hay. (Ref: Toziul masahi jame Ayatullah Sistani db mafhoom e masla #342) [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aurat ke sharmgah k baal agar ziada lambe hojae (suna ha chawal k dane se lamba baal hojae( toh wazu jaiz nahe hota??
Answer: Jee nahin, Aisa kuch nahin hai. Baaz riwayaat main takeed(mustahab) aaei hay k Mard zair e naaf baalon ko 40 din se ziyada katne ko tark na karay, or Aurat 20 din se ziyada zair e naaf baalon ke kaatne ko tark na karay. Or rahi baat baghal k baalon ki tu buhat si Riwayaat main in baalon ko kaatne k liay baghair mudaat e muayyana ki qaid ke hokum diya gaya hai. or agar Aurat ke baal shohar ke liay biwi se lazzat or faida hasil karne ki raah mian nafrat ka sabab banen tu Aurat k liay in baalon ka kaatna wajib hai. (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0504/page/7/ ). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alikum, I would like to ask about ring, Please infrom is gunnah or what? Main ne Aak ring kharide hy chandi ki us pr Name Ali lekha hoa hy kia wo pehna jaiz hy ke nahi, because some wash room m b jana parta hy, please clear it.
Answer: Jee han, Mard ke liye Chandi ki anguthi(ring) pehenna jaiz hai. aur Mard k liay faqat sona(Gold) pehenna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #820). Jo shakhs ba wazu na ho us k liye behtr ye hai k Rasool Akram (s.a.w.w) or Aima tahireen a.s k asmaye mubaraka ko mas(touch) na kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, maslah #318). [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mujhy gusa bohot ata hai or kabhi kabar dil itna naraz hota hai ky dil khud sy bar jhta hai
Answer: Gussay ko door karnay k liye surah e aal e imran ki ayat #134 ko chini(sugar) par 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur phir unhen pilaain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg#36). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shia Muslim k total kitna kalmay hain
Answer: shia ka aik he kalma hai .(laa ilaaha ilallaahu ,muhammadurrasoolullahe ,aleeyun waleeyullahe wa waseeyu rasoolillahe wa khaleefatuhoo bilaa fasl) Quran-e-Majeed main Khudawan-e-Kareem nay irshad farmaya hay kay =tumhara wali o sarparast Khuda aur us ka Rasool aur wo log hain jo Iman laey aur namaz ko qaim karnay walay hain aur halat-e-rukoo main zakat detay hain= Sura Maida Ayat No.5..Riwayaat main ye baat sabit hay kay halat-e-rukoo main zakat sirf molaey kainaat shehenshaah-e-wilayat Ali ibne Abi Talib A.S nay ada ki hay,to is say sabit hay kay Hazrat Ali A.S Allah kay wali hain. albatta agar koi kaafir shaadatain ( ashadu an laa ilaaha ilallaahu wa ashadu anna ,muhammadarrasoolullahe perh le yani kise bhi zabaan me allah ki wehdaaniyat or hazrat muhammad mustafa ki nabowat ki gawaahe de de tu wo musalmaan ho jaata hai .(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #205) [Updated on 26-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: سلام ۔۔۔ ہمارے ہاں یہ بات کہی جاتی ہے کہ عید الاضحی شیعہ نہیں مناتے ؟؟ کیا یہ سچ ہے ؟؟
Answer: Jee nahin, aisa kuch nahin hai balke fiqh e jaffariya (shia mazhab) me bhi eid ul azha ya eid ul fitr bare pemaane par manaei jati hai, aur is me khushi manana, naya libaas pehenna, zeenat karna, shab or roz ke aamal baja lana jese ghusl karna, namaz eid parhna, Imam Hussain ki ziyarat parhna, dua e nudba, parhna, makhsoos duaen parhna, qurbani karna, is din ki mashhoor takbeeren parhna wagera wagera.. ye sab amaal anjam diye jate hain or shareiat me in amaal ka anjam dena mustahab bhi shumar kiya gaya hai. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%B9%DB%8C%D8%AF_%D9%82%D8%B1%D8%A8%D8%A7%D9%86 . + http://ur.imam-khomeini.ir/ur/n32324/%D8%B9%DB%8C%D8%AF-%D9%82%D8%B1%D8%A8%D8%A7%D9%86-%D8%AA%D8%A7%D8%B1%DB%8C%D8%AE%DB%8C-%D8%A7%D9%93-%DB%8C%D9%86%DB%81-%D9%85%DB%8C%DA%BA-%D8%A7%D9%88%D8%B1-%D8%A7%D8%B3-%DA%A9%D8%A7-%D9%81%D9%84%D8%B3%D9%81%DB%81 (. [Updated on 04-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]