Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Ibadat ( 20 Questions)


Id: 16471
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: quran pak main asi kon c qom ka zikr aya hai jo bal ki ibadat krti thi?

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 04-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16639
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya periods ke time chuti hui namaz ka bharpaya krna padta hai?

Answer: Haiz ki halat men namaz aur is tarah ki ibadatain anjam dena Haram hai aur jo namazain aurat ne haiz ki halat men nah parhi hon un ki qaza nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,459). [Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16701
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa kia in khass Dino ka Duran ziyarat ashura parh skty hain Jo ka 40dinu ki neyat sa parha jata a ya phr dubra shuru krna hoga?

Answer: Halat e haiz me Namaz chahe wajib ho ya mustahab, parhna Haram hai. lihaza agar amal se mutaalliq cheezain, haaiz aurat par haraam cheezon main se na hon to 40 din wala amal kar sakti hai, lekin agar amal se mutaalliq cheezain, haaiz aurat par haraam cheezon main se hon to 40 din wala amal nahin kar sakti, lihaza agar amal aisa hai jis men wo kaam anjam dene parte hain jo ke haiz ke dino men jaiz nahin hain to phir amal anjam nahin de sakti. jaise ke agar amal namaz par mushtamil hai to chonke namaz haiz ke dino men jaiz nahin hai is liye amal bhi jaiz nahin haga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16947
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jhad ki sharaet Kiya han

Answer: Aksar mujtahideen ki nazar mein ibtidayei jehaad ki ijazat Imam e masoom(a.s) ya Imam(a.s) ke naibeen ke ikhtiyar mein hai. aur inki nazar mein naaib yani naib e khaas aur Imam zamana(a.s) ki gheebat ke zamane mein aam naaib is mein shaamil nahin hain. lekin baaz mujtahideen ki nazar mein jehaad ki ijazat sirf Imam e masoom(a.s) ya Aap(a.s) ke naaib e khaas ke ikhtiyar mein nahin balkay naaib e aam bhi tauheed aur adal ki hifazat aur zulm ko roknay aur muzloomon ki himayat ki khaatir ibtidayei jehaad ki ijazat day sakta hai. in mujtahideen ki nazar mein ijma ki raye maured e qubool hai aur jehaad ki hadees mein aadil Imam se muraad Imam e masoom(a.s) nahin hai. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%AC%DB%81%D8%A7%D8%AF#%D8%A7%D8%A8%D8%AA%D8%AF%D8%A7%D8%A6%DB%8C_%D8%AC%DB%81%D8%A7%D8%AF_%DA%A9%DB%92_%D9%88%D8%A7%D8%AC%D8%A8_%DB%81%D9%88%D9%86%DB%92_%DA%A9%DB%92_%D8%B4%D8%B1%D8%A7%D8%A6%D8%B7 ). [Updated on 24-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16959
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 15 Shahban ki rat k aamaal

Answer: 15 Shahban ki rat ke aamaal ke liye kitaab, mafatih ul jinan ya darj zel wabsite ki janib ruju karen. (Ref: https://mafatih.net/?cat=1459 ). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16970
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ma apna ap ko seda Rasta pa Lana Chahta Hun par mare koish nakam ho rah ha is ly ma kia karo

Answer: Kisi ko (ya khud ko) na-jaiz harakaat o taluqaat se baaz rakhne or buri adaat o fawahishaat se raah e raast par laanay ke liye kisi bhi sharbat par Bismillaah hir rahmaaner raheem or surah room(surah #30) ki ayat #21 or surah maidah(surah #5) ki ayat #100 ko awwal o aakhir salawaat ke saath 41 martaba parh kar pilain to badkariyon se kinara kash rahay ga. (Ref: Nawaye Saliheen, Mafhoom e pg #351). Note .deen per musalsal amal karte rahe maslan namaz ,,roza ,khums,or dosere wajibaat ki pabandi karte rahe ,or jo zimme daariya mazi me ada nahe ki hain un ka bhe izaala kare maslan kise ka qarza lia hay wo ada kare ,jo namaze nahe perhe hay un ki qaza kare ,jo khums nahe dia hay use ada kare ,jo roze nahe rekhe hain un ki qaza kare [Updated on 05-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17027
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kisi ke ameen kahny pe kaya jwab den

Answer: Ameen ka maana" aye Allah meri dua qubool farma" ke hain jo mamoolan duaon ke aakhir mein bola jata hai. baaz auqaat "ellahi ameeen" bhi kaha jata hai. aur is ke jawab me kuch nahin kehna. (Ref: https://ur.wikishia.net/view/%D8%A2%D9%85%DB%8C%D9%86 ). [Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17116
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Na mehram orat ko asaal e sawab krna jaiz hay ya nahi

Answer: Jee jaiz hai. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #144). [Updated on 23-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17321
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Napaki mai tasbih padh sakte hai ya nhi

Answer: Jee han, parh sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #448,354,467). [Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 25021
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Aslam o alaikum Agar apko shak ho k ap sy shirk ho geya ha ya aesa amal ho geya ha k ap daira islam sy kharij ho gaye hen or is tarah k khialat atey hon tau kia karey ma anxiety patient ho or merey running of thoughts ka issue ha or mjhy is doran ko galat soch ati ha tau woh jati nahi ha bar bar jhatakta hun phir ajati ha plz meri madad farmaye ma kia karun??

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!