Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Muamlaat / Transactions ( 72 Questions)


Id: 1903
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya Ghor sawari per shart lagana haram hai ya halal.tafseel se jawab dijiye.

Answer: Ghoray sawari or teer andazi per shart lagana jaiz hay laikin shart ye hay k ghorhay sawaar apas main shart lagain . kisi dosray k liay shart lagana jaiz nahi hay. (Ref: http://www.sistani.org/arabic/qa/0489/ ) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2156
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: IS THE EARNING OF OFF LICENSE SHOPS IS HALAL OR HARAM FOR THE PERSON WHO WORK ON THAT SHOP AS A WORKER,WHICH RECIEVE WAGES MONTHLY.

Answer: He is allowed to receive the price of items other than liquor (i.e. wine, beer) and also the price of liquor(i.e. wine, beer), if the buyers are non-Muslims.(Ref:E-mail rcvd from A.Sistani(d.b),Dated 07.09.11 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2875
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawaal ye tha k kya islam me kismat ka haal janna jaiz ha? apny stars ki madad se ya astrologer k pass jana theak hai

Answer: Chunkeh inki peshangoe ka koi aytebaar nahi hai is liay un k liay jaiz nahi k kisi baat ki yaqeeni tour par peshangoi karain ya khabar dain dusro k liay bhi unki peshangoe par koi aisa asar lena jaiz nahi hai jis k liay kisi share ya aqli hujjat aur daleel ki zarorat ho.(Ref : Jadeed Fiqhi masail,page#294, masla#604,5th edition, Imam Ali Foundation, London). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Id: 6541
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA,AGER ZAMEEN PAR KOI CHEEZ PARI MILY TO US KA KYA HUKAM HA.JB KAY US KAY MALIK KA PATA KARNA NA MUMKIN HAY. ANSWER qURAN O HADIS KI ROSHNI MAY O

Answer: Agar koi shaks ko kisi dusray ka aisa ghum-shuda maal milay jo haiwanaat mai say na ho aur jis ki koi aisi nishani bhi nah ho jis k zarye us k malik ka pata chal sakay tu chahay uski qeemat aik dirham(2.5 gram chandi) say kam ho ya ziada ho ,wo shaks khud rakh sakta hai. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2528,2529). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7320
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya apny waqat ka hukamran ko gali dani jaiz ha?

Answer: Agr dushman-e-deen ka bhi gaali dena ho or gaali se maqsad ayse alfaz ka istamal kiya jaye jin ka zikr Qabeeh (na-pasandeedah, bura) hai to ye bhi jaaiz nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 1, sawaal # 196,pg # 93).(Khuda apki toufeeqt men izaafa frmaye)

Id: 8896
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujy ye pochna hay k gold aur silver k elawa baki tamam material ki bani ring pahn'na haram hay kay....

Answer: Merd k liay faqat sona(Gold) pehenna haram hay (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #820). Update on dated 23-09-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9333
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: plss answer me im shia kya facebook chalana haram hai agr hai toh bolo plsss aur facebook toh israel ka site hsi toh hum use kyu ksrty hsi

Answer: Agar gunah main perhne ka khoof ho agarchah ahista ahista hi sahi tu haram hay.(Ref: Rcvd istifta from ayatullah sistani d.b dated:26-08-12 ). Update on dated 02-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9340
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کوئی کسی کو رقم ادھا دے اور اس سے ماہانہ بنیاد پرر قم بھی وصول کرے جبتک اسکا قرض واپس نہ ہو تو یہ کس ضمرے میں آئگا

Answer: Qarz ki raqam per ziyada raqam wosool kerne ki shart nah ki gae ho. Or jitni raqam qarz di thi os se oper raqam nah lia jaey,Q k ye sood hoga, or sood haram hay. Ab chahay har mahinay khuch raqam wosool ki jaey ya aik sath mukammal raqam wosool ki jaey, koe farqa nahi perhta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,part#2,Mafhoom e Maslah#1011 ). Update on dated 10-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9357
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalam o alaikum...ali raza mehdavi saheb k duroo e luma k downloading m problem arhi h?????kese upload kiya h aap ne??????

Answer: Wa alaikim salam. Luma k duroos Maulana Hasan Rizvi sahib k hain or download ho rahe hain aap check ker lain.or is likn http://qoitrat.org/audio_clips.php?type=hawzwi&topic=9 per click ker k download karain. Update on dated 17-03-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9773
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar Ghar ki gallery me madh makkhi Ka chatta Bana hua hai to use jala sakte hai

Answer: Madhu makhi(yani Shehed ki makhhi) ko bhagane k liay aag jalae jaa sakti hai taakeh wo dhuain sai bhaag jain or aisa karnay main koe haraj nahi hay.(Ref:web:sistani.org baab e haiwanaat https://www.sistani.org/arabic/qa/0459/page/2/ ). Update on dated 05-11-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!