Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Muamlaat / Transactions ( 72 Questions)


Id: 16433
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Crypto currency/trading Jaiz hai ya najaiz?

Answer: Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht ke sisile men Ayatullah Sistani(d.b) ki Ehtiyaat e wajib hai (yani Ayatullah Sistani{d.b} ke nazdeek Ehtiyaat e wajib ki bina par Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht jaiz nahin hai) aur is Ehtiyaat men Ayatullah Sistani(d.b) ke muqallideen ko ijazat hoti hai ke wo fal-alam mujtahib ki janib ruju kar sakte hain. Ayatullah Shubberi zanjani(d.z) Cryptocurrency, ya Bitcoin ko do sharait ke maujoodagi men jaiz qarar dete hain: 1. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab ho ya qanon ke khilaaf ho to is ke khareedne aur bechne men Ishkaal hai. 2. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab na ho Aur qanon ke khilaaf na ho to koi Ishkaal nahin hai. Lihaaza Ayatullah Sistani(d.b) ke muqallideen apne mujtahib ki Ehtiyaat e wajib men Ayatullah Shubberi zanjani(d.z) ke is fatway ki janib ruju kar sakte hain Aur dono sharait ki pabandi karte hue Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht kar sakte hain. Wazahat: Maali bad unwaani se muraad ye hai ke Bitcoin ki khareed o firokht logon ko dhoka o fireb dene ka baais bane ya kabhi bhi is Bitcoin ki maali haisiyat khatam ho jaye jis se logon ka sarmaya doob jaye ya is qadar bara nuqsan punhche ke sarmaya khatam ya khatme ke nazdeek punhch jaye. (Note: Ab ye khud mukallaf ki zimmdari hai ke wo tehqeeq kare ke us ke mulk men Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht qanooni hai ya nahin aur is men raqam lagana mehfooz hai ya nahin aur jaiz hone ki deegar sharait maujood hain ya nahin. waazih rahe ke jaiz hone ka fatwa faqat Halal o Haram ki had tak hai). (Ref: E-mail, Istiftaat 21.01.21 or E-mail, Istiftaat 24.04.21). [Updated on 24-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16514
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ak shop Pay age koi shopkeeper mention ki hui price say extra change krta hay to Kia wo halal hay . For example agr koi cheez 10 Rs. Ki hay or us k opr Rs.10 yani price Tage laga Hua hay or wo kahy k mai esy 12 Rs. Mai sale kru ga. To Kia ye jaiz hay ?

Answer: Maalik ko bataye baghair is tarah ka amal jaiz nahin hay Q ke shopkeeper us Maalik ki taraf se wakeel hai or wakeel par wajib hai ke jo kuch us ke hath me ho wo maalik ke supurd kare. Han, agar shopkeeper malik ko bataye or malik is par raazi bhi ho to jaiz hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition 1443 hij, Mafhoom e Maslah #1302). [Updated on 19-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16570
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamoalaikum, Kia online business jaiz hai his main kch paisy invest kr k owner us py fix percentage profit daita ho?

Answer: Jaiz nahin hai. Albatta yeh maamla us surat main sahi ho sakta hai ke jis bande ne paise invest kiye hain us ko sleeping partner appoint kar liya jaye (sleeping partner se muraad ke aik banda faqat invest kare ga lekin us ki koi mehnat wagera nahin hogi) aur aik percentage set kar liya jaye misaal ke taur par ke sleeping partner ko profit me se 10% diya jaye ga aur loss hoga to bhi 10% nuqsaan wo uthaye ga. Agar is tarah maamla set kiya jaye to koi haraj nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42 maslah #2109). [Updated on 08-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16791
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Slam Digital currency halal hy? Forsage k platform ka bht rujhan hy aj kal or b websites hn Jahan sy earning Hoti hn. Rehnumai frmain... Jzak ALLAH

Answer: Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht ke sisile men Ayatullah Sistani(d.b) ki Eehtiyaat e wajib hai (yani Ayatullah Sistani{d.b} ke nazdeek Ehtiyaat e wajib ki bina par Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht jaiz nahin hai) aur is Ehtiyaat men Ayatullah Sistani(d.b) ke muqallideen ko ijazat hoti hai ke wo fal-alam mujtahib ki janib ruju kar sakte hain. Ayatullah Shubberi zanjani(d.z) Cryptocurrency, ya Bitcoin ko do sharait ke maujoodagi men jaiz qarar dete hain: 1. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab ho ya qanon ke khilaaf ho to is ke khareedne aur bechne men Ishkaal hai. 2. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab na ho Aur qanon ke khilaaf na ho to koi Ishkaal nahin hai. Lihaaza Ayatullah Sistani(d.b) ke muqallideen apne mujtahid ki Ehtiyaat e wajib men Ayatullah Shubberi zanjani(d.z) ke is fatway ki janib ruju kar sakte hain Aur dono sharaait ki pabandi karte hue Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht kar sakte hain. Wazahat: Maali bad unwaani se muraad ye hai ke Bitcoin ki khareed o firokht logon ko dhoka o fireb dene ka baais bane ya kabhi bhi is Bitcoin ki maali haisiyat khatam ho jaye jis se logon ka sarmaya doob jaye ya is qadar bara nuqsan punhche ke sarmaya khatam ya khatme ke nazdeek punhch jaye. (Note: Ab ye khud mukallaf ki zimmdari hai ke wo tehqeeq kare ke us ke mulk men Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht qanooni hai ya nahin aur is men raqam lagana mehfooz hai ya nahin aur jaiz hone ki deegar sharait maujood hain ya nahin. waazih rahe ke jaiz hone ka fatwa faqat Halal o Haram ki had tak hai). (Ref: E-mail, Istiftaat 21.01.21 or E-mail, Istiftaat 24.04.21). [Updated on 22-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17017
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ky islam me kamaty dalna haram h

Answer: Committee(B.C) dalna jaiz hai albatta ye maslah tafseel talab hai ke jis ke liye aap ko aik link diya jaa raha hai, baraye karam aap us link ko visit karen. (Ref: Link, https://youtu.be/ynRNaitgKG0 ). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17022
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ulama ka majlis ka paisa Lena teek hai

Answer: Jee han, Insaan, Hazrat e Syed-us-Shuhada(a.s) aur deegar Hazraat e Masoomeen(a.s) ke masaaib bayan karne aur Ahal Bait(a.s) ke fazaail bayan karne aur aisa kalaam karne ke liye ke jo waaz-o-naseehat aur is tarah ki cheezon par mushtamil ho, (aise kaam ke jin ka koi aqli faaida ho; chahe deeni faaida ho ya duniyawi), ujrat (raqam) talab kar sakta hai. Albatta baaz auqaat mumkin hai ke aisa kaam maktab e Ahal Bait(a.s) ke zakireen, muballigheen aur khadimeen ke jinhain log zuhd-o-taqwa aur parhaiz gaari ka mazhar samajhtay hain, ki shayan e shaan nah ho, aur sab se ziyada behtar ke jo aakhirat me ziyada ajr-o-sawab ka baais banta hai aur qasd e qurbat ke nazdeek tar hai wo yeh hai ke yeh kaam jo aik tarah se mazhabi rusoomaat aur deen ki tarweej-o-ishaat samjhay jate hain, muft (free) me anjaam diye jayen aur majalis ke muntazimeen apni razamandi (aur khushi) se koi maal ya raqam unhain hadiya karen. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #554, pg #276, hashiya #2). [Updated on 18-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17025
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamo Alekum Qibla Digital currency (crypto) jis ka physical wajood nhi hota is ki sale/purchase kar sakty hain ?

Answer: Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht ke sisile men Ayatullah Sistani(d.b) ki Eehtiyaat e wajib hai (yani Ayatullah Sistani{d.b} ke nazdeek Ehtiyaat e wajib ki bina par Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht jaiz nahin hai) aur is Ehtiyaat men Ayatullah Sistani(d.b) ke muqallideen ko ijazat hoti hai ke wo fal-alam mujtahib ki janib ruju kar sakte hain. Ayatullah Shubberi zanjani(d.z) Cryptocurrency, ya Bitcoin ko do sharait ke maujoodagi men jaiz qarar dete hain: 1. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab ho ya qanon ke khilaaf ho to is ke khareedne aur bechne men Ishkaal hai. 2. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab na ho Aur qanon ke khilaaf na ho to koi Ishkaal nahin hai. Lihaaza Ayatullah Sistani(d.b) ke muqallideen apne mujtahid ki Ehtiyaat e wajib men Ayatullah Shubberi zanjani(d.z) ke is fatway ki janib ruju kar sakte hain Aur dono sharaait ki pabandi karte hue Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht kar sakte hain. Wazahat: Maali bad unwaani se muraad ye hai ke Bitcoin ki khareed o firokht logon ko dhoka o fireb dene ka baais bane ya kabhi bhi is Bitcoin ki maali haisiyat khatam ho jaye jis se logon ka sarmaya doob jaye ya is qadar bara nuqsan punhche ke sarmaya khatam ya khatme ke nazdeek punhch jaye. (Note: Ab ye khud mukallaf ki zimmdari hai ke wo tehqeeq kare ke us ke mulk men Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht qanooni hai ya nahin aur is men raqam lagana mehfooz hai ya nahin aur jaiz hone ki deegar sharait maujood hain ya nahin. waazih rahe ke jaiz hone ka fatwa faqat Halal o Haram ki had tak hai). (Ref: E-mail, Istiftaat 21.01.21 or E-mail, Istiftaat 24.04.21). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17026
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alekum Qibla Forex trading karna kesa hy ?

Answer: Ayatullah Sistani(d.b) is silsilay main khamosh hain or aap is sililay main fal alam mujtahid ki janib ruju karain. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443, maslah #649). [Updated on 21-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17230
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا عورت کے بال بیچنا گناہ ہے؟

Answer: Bazaat e khud ye jaiz hai. (Ref: E-mail rcvd, Istifta aqa sistani). [Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17460
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: السلام علیکم میرا سوال ہے اگر کوئی فوجی سپاہی فوجی یونٹ کے (سی او ) سے بغیر پوچھے راشن اپنے گھر لاتا ہے۔۔کیا یہ کام جایز یا نہیں ؟؟

Answer: Agar ye foji unit ke qawaneen ke khilaaf ho to jaiz nahin hai. (Ref: link; https://www.sistani.org/persian/qa/0996/ ). [Updated on 30-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!