Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Muamlaat / Transactions ( 72 Questions)


Id: 15950
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ladies APNA YouTube channel open kr sakti hai agr face show na karain cooking ki videos aur Kisi chez ka review Daina hn TU??

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15951
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ladies APNA YouTube channel open kr sakti hai agr face show na karain cooking ki videos aur Kisi chez ka review Daina hn TU??

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15952
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ladies APNA YouTube channel open kr sakti hai agr face show na karain cooking ki videos aur Kisi chez ka review Daina hn TU??

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16130
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. Bitcoin ya crypto currency halal hy ya haram?

Answer: Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht ke sisile men Ayatullah Sistani(d.b) ki Ehtiyaat e wajib hai (yani Ayatullah Sistani{d.b} ke nazdeek Ehtiyaat e wajib ki bina par Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht jaiz nahin hai) aur is Ehtiyaat men Ayatullah Sistani(d.b) ke muqallideen ko ijazat hoti hai ke wo fal-alam mujtahib ki janib ruju kar sakte hain. Ayatullah Shubberi zanjani(d.z) Cryptocurrency, ya Bitcoin ko do sharait ke maujoodagi men jaiz qarar dete hain: 1. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab ho ya qanon ke khilaaf ho to is ke khareedne aur bechne men Ishkaal hai. 2. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab na ho Aur qanon ke khilaaf na ho to koi Ishkaal nahin hai. Lihaaza Ayatullah Sistani(d.b) ke muqallideen apne mujtahib ki Ehtiyaat e wajib men Ayatullah Shubberi zanjani(d.z) ke is fatway ki janib ruju kar sakte hain Aur dono sharait ki pabandi karte hue Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht kar sakte hain. Wazahat: Maali bad unwaani se muraad ye hai ke Bitcoin ki khareed o firokht logon ko dhoka o fireb dene ka baais bane ya kabhi bhi is Bitcoin ki maali haisiyat khatam ho jaye jis se logon ka sarmaya doob jaye ya is qadar bara nuqsan punhche ke sarmaya khatam ya khatme ke nazdeek punhch jaye. (Note: Ab ye khud mukallaf ki zimmdari hai ke wo tehqeeq kare ke is mulk men Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht qanoni hai ya nahin aur is men raqam lagana mehfooz hai ya nahin aur jaiz hone ki deegar sharait maujood hain ya nahin. waazih rahe ke jaiz hone ka fatwa faqat Halal o Haram ki had tak hai). (Ref: E-mail, Istiftaat 21.01.21 or E-mail, Istiftaat 24.04.21). [Updated on 28-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16153
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa....is it right to give zakireen niaz (money) after they recite majlis?As some people consider giving niaz(money) as HARAM?

Answer: Jee han, de sakte hain, jaiz hai aur zakireen ka niyaz (money) lena bhi jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Edition #1443, Maslah #554). [Updated on 03-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16170
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main n flood k paisa logon s Jama kya han r us main s ksi greeb ki madad kr dn kya ya amal tk ha

Answer: 1: "Wakaalat" se muraad yeh hai muahida karne ya muamela karne ya in jaise kisi kaam ko maslan "Tehweel mein dena" aur "Tehweel mein lena" jo insaan khud karne ka haq rakhta ho use dusre ke supurd kar de taake wo uski taraf se kaam anjaam day. Maslan kisi ko apna wakeel banaye taake wo uska makaan bech de ya kisi aurat se uska aqd kara day. 2: Faqat kisi gareeb ko dene se aap ki zimmedari ada nahin hogi, balke zaroori hai jis maqsad ke liye paise liye gaye the usi maqsad me istemal kiye jayen.(Yani agar lougo ne aap ko faqat selaab zadghaan ki imdaad ke lie paise die hay tu aap in se srif selaab zadghaan walo he ki madad kare inko kaise or ki madad me istemaal na kare. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2220). [Updated on 11-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16193
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya network marketing jaiz hy jis me pyramid system ho jase k forsage system

Answer: Ayatullah sistani is slsilay main khamosh hain or is sililay main fal alam mujtahid ki janib ruju karain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Edition #1443, Maslah #649). [Updated on 14-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16249
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam alaikum Is leverage halal in forex trading?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Ayatullah sistani ne khud online forex trading ke silsilay main apni raaye ka izhar nahin kiya hay, aap is maslay main fal-alam mujtahid ki jaib ruju kar sakte hain. (Ref: email rcvd from sistani.org on 02-01-2022). [Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16390
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum Kia forsage ke zariye earning kr sakty hain . ye halal hai ya haram?

Answer: Ayatullah sistani is slsilay main khamosh hain or is sililay main fal alam mujtahid ki janib ruju karain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Edition #1443, Maslah #649). [Updated on 11-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16397
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Forsage se earning kr sakty hain. Online work hai?

Answer: Ayatullah sistani is slsilay main khamosh hain or aap is sililay main fal alam mujtahid ki janib ruju karain. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame (farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #3, Edition #1443, Maslah #649). [Updated on 14-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!