Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Muamlaat / Transactions ( 72 Questions)


Id: 12822
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir hawala/hundi is jaiz in islam??

Answer: Wo haqqe zehmat Jo bank kise hawale ke badle me dareyaaf karta hay wo Sood nahe ( Yani jaiz hay ) .hawala/draft (Hindi)ke tafseele ahkhaam maloom karne ke lie aap Aytullah sistani sahab ki Urdu tuiziulmasail pageno:443 ki taraf ruju karsakte hay.(ref.sistani.org ,Urdu,topic : hawala, que no:1) [Updated on 25-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12892
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri 1 software company may job hui hay jo banks k lye software bnani hay..meri appointment waha as a software engineer hui hay.. kya aisi company may job krna jaiz ha?

Answer: Jaiz hay. (Ref: Mafhoom e email rcvd from a.sistani. dated: 19-03-15) [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12930
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alaikum. Mera swal forex trading k mutaliq ha kia ye halal ha ya haram .is mn han online different currencies (EURGBP.;GBPUSD) ko buy ur sell krty han .to in sy profit lety hn.

Answer: Ayatullah sistani ne online forex trading k silsilay main apni raey ka izhar nahi kia hay, aap is maslay main fal-alam mujtahid ki jaib ruju kar sakte hain.(Ref: email rcvd from sistani.org on 02-01-2022) [Updated on 20-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12962
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Network marketig karna kaisa hai aur pyramid chaning system hmare liye kaisa hai plzz hme sahi rasta dikhay

Answer: Ayatullah Sistani (d.b), Is tarh ki lain dain ki ijazat nahin detay.(Ref: https://www.sistani.org/english/qa/search/37428/) [Updated on 07-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14871
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: اسلام وعلیکم مولانا صاحب کیاڈیجیٹل کرنسی بٹکوائن کی ٹریڈنگ حلال ہے یا حرام اس کی کوئی ظاہری یا مادی شکل نہیں ہے البتہ آپ اس کو استعمال کرتے ہوے مختلف ویبسائیٹ پر خریدوفروخت کر سکتے ہیں رہنمائی کر دیجئے

Answer: Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht ke sisile men Ayatullah Sistani(d.b) ki Ehtiyaat e wajib hai aur is Ehtiyaat men muqallideen ko ijazat hoti hai ke wo fal-alam mujtahib ki janib ruju kar sakte hain. Ayatullah Shubberi zanjani Cryptocurrency, ya Bitcoin ko do sharait ke maujoodagi men jaiz qarar dete hain: 1. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab ho ya qanon ke khilaf ho to is ke khareedne aur bechne men Ishkaal hai. 2. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab na ho Aur qanon ke kilaf na ho to koi Ishkaal nahin hai. (Ref: ye fatway 21.01.21 or 24.04.21 ko E-mail par mausool hue) Lihaaza Ayatullah Sistani(d.b) ke muqallideen apne mujtahib ki Ehtiyaat e wajib men Ayatullah Shubberi zanjani(d.z) ke is fatway ki janib ruju kar sakte hain Aur dono sharait ki pabandi karte hue Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht kar sakte hain. Wazahat: Maali bad unwaani se muraad ye hai ke Bitcoin ki khareed o firokht logon ko dhoka o fireb dene ka baais bane ya kabhi bhi is Bitcoin ki maali haisiyat khatam ho jaye jis se logon ka sarmaya doob jaye ya is qadar bara nuqsan punhche ke sarmaya khatam ya khatme ke nazdeek punhch jaye. (Note: Ab ye kam khud mukallaf ki zimmdari hai ke wo tehqeeq kare ke is mulk men Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht qanoni hai ya nahin aur is men raqam lagana mehfooz hai ya nahin aur jaiz hone ki deegar sharait maujood hain ya nahin. waazih rahe ke jaiz hone ka fatwa faqat Halal o Haram ki had tak hai). [Updated on 26-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14953
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 7200 sa ki chez mila r company uska retail price 8550 rakha r jab kisan ki zarorat ho r yahe chez app 13000 hazar ki sale kerain kia y jaiz hai

Answer: Karobaar men munafa lena jaiz hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42,, khareed o farokht k Ahkaam, pg #305). [Updated on 04-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14993
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum , jii mera sawal ye h ki agr paiso ki bhoat zyada tangi ho aur paisa ka koi zariya na ho toh bayaj se paisa lena jayaj h ya nhi?? Please btaiye

Answer: Sood (interest) lena jis tarah se bhi ho haram or gunah kabira hai or dunia or aakhirat ke azaab ka baais (sabab) hai, Han sirf or sirf kaafir se Sood (interest) lena jaiz hai lekin use Sood dena phir bhi jaiz nahin hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01822/ ). [Updated on 07-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15030
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 10 muharam ko kamana kaisa ha

Answer: Munasib hai ke ahle bait e asmat o taharat (a.s) ki shahadat ke ayam men dukandar log apni dukan ko band karen, balke dukan ka khole rakhna agar ahle bait (a.s) ki be-hurmati shumar ho to parhaiz karen. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01844/ ). [Updated on 24-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15057
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum sir me mobile qiston per deta hu or 10000 per 3200 profit leta hun 9 mahine ka time deta hun to yeh minafa jaiz hai ya kitna lena chahiye

Answer: Is tarah se bechna aur kharidna jaiz hai lekin bechi hoi qeemat par takheer ki wajah se izaafi paisay ka mutaliba karna jaiz nahin hai. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02629/ ). [Updated on 14-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15151
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya jandar ki paintings banana aur unki sale karna haram hai?

Answer: Jandar ka mujasama(statue) banana ehtiyat ki bina per haram hai laikin in ki khareed o farokth mana nahin hai. Albatta jandar ki naqashi(picture) jaiz hai aur in ki bhi khareed o farokth mana nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2030). [Updated on 25-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!