Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Muamlaat / Transactions ( 72 Questions)


Id: 17541
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar larki waly rishta karny k liye demond rakhty Hai kya wo Islam sahi Hai ya ghalat

Answer: Nikah ke waqt jo bhi jaiz shart ho wo (dulha or dulhan ki razamandi se) rakhna jaiz hai chahe mard ki taraf se ho ya aurat ki taraf se ho. aur jab shart rakhi jaye to us shart ko poora karna wajib hai. shart ki mukhalifat karna jaiz nahin hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #3, maslah #330). [Updated on 17-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17551
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: آج کل جیسا کہ ایزی پیسا سیونگ ملتی ہے لیکن اس سیونگ سے ٹیکس اور زکوتہ کاٹ کر سیونگ دیتے ہیں تو کیا یہ حلال ہے یا حرام؟

Answer: Easypaisa ya kisi bhi Muslim Private Bank wagera se savings ya profit lene ka Hukm yh hai k ap ki janib se shart na ho k mjhe per month ya per year itna profit chahiye or agr nhi mila to mai acc close krdnga. Albatta vo apni janib se hi apko agr kuch percant dein to uss me koi harj nhi hai lkn agr kisi mahine nhi aye to ap demand nhi krskte lkn umomi tour pe aisa nhi hota hai. Ap Easypaisa k office ja k unhein yh bta skte hai k ap Shia hai to vo ap ki Zakat deduction nhi kreinge galiban lekin Tax to phr bhi deduct hota hi hai. [Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17606
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Social media pe kisi aur ki tasveer post karna jaayz he ya nahi?

Answer: الجواب: لا يجوز ذلك مع صدق عنوان محرّم من قبيل إفشاء سرّ المؤمن أو إيذائه و الإضرار به، بل ينبغي التجنّب عن ذلك من غير إحراز رضاه مطلقاً. Internet per kise dosere shaks ki tasveer lagane se agar koi or haraam inwaan sidq aata ho jise momin ke raas ko faash karna ya us ke aziyat dena ya us ko zarar pouchana tu jaiz nahe hay balke behter ye hay ke jab tak us ki razamandi ka ilm na ho har surat me is kaam se perheez kiya jaay . (Ref: https://www.sistani.arabi,topic: internet, question no : 1) [Updated on 15-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17720
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu Alaikum, is it permissible to invest online and make profit from it?

Answer: NULL

Id: 19316
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: is trading in forex or cryptocurrency halal. is it allowed in any one of these categories or not even in both, according to shias

Answer: Ayatullah Sistani(d.b) is silsilay main khamosh hain or aap is sililay main fal alam mujtahid ki janib ruju karain. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #3, edition #1443, maslah #649). [Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19573
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: crypto currency trade krna jaiz hai ?

Answer: Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht ke sisile men Ayatullah Sistani(d.b) ki Eehtiyaat e wajib hai (yani Ayatullah Sistani{d.b} ke nazdeek Ehtiyaat e wajib ki bina par Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht jaiz nahin hai) aur is Ehtiyaat men Ayatullah Sistani(d.b) ke muqallideen ko ijazat hoti hai ke wo fal-alam mujtahib ki janib ruju kar sakte hain. Ayatullah Shubberi zanjani(d.z) Cryptocurrency, ya Bitcoin ko do sharait ke maujoodagi men jaiz qarar dete hain: 1. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab ho ya qanon ke khilaaf ho to is ke khareedne aur bechne men Ishkaal hai. 2. Agar aisi currency se istifada karna aam taur par maali bad unwaani (corruption) ka sabab na ho Aur qanon ke khilaaf na ho to koi Ishkaal nahin hai. Lihaaza Ayatullah Sistani(d.b) ke muqallideen apne mujtahid ki Ehtiyaat e wajib men Ayatullah Shubberi zanjani(d.z) ke is fatway ki janib ruju kar sakte hain Aur dono sharaait ki pabandi karte hue Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht kar sakte hain. Wazahat: Maali bad unwaani se muraad ye hai ke Bitcoin ki khareed o firokht logon ko dhoka o fireb dene ka baais bane ya kabhi bhi is Bitcoin ki maali haisiyat khatam ho jaye jis se logon ka sarmaya doob jaye ya is qadar bara nuqsan punhche ke sarmaya khatam ya khatme ke nazdeek punhch jaye. (Note: Ab ye khud mukallaf ki zimmdari hai ke wo tehqeeq kare ke us ke mulk men Cryptocurrency, ya Bitcoin ki khareed o firokht qanooni hai ya nahin aur is men raqam lagana mehfooz hai ya nahin aur jaiz hone ki deegar sharait maujood hain ya nahin. waazih rahe ke jaiz hone ka fatwa faqat Halal o Haram ki had tak hai). (Ref: E-mail, Istiftaat 21.01.21 or E-mail, Istiftaat 24.04.21). [Updated on 16-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 20962
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: assalam wa alaikum mai janna chahta hu k, aaj se 2 year pahle mai kisi dusre city me job karta tha, waha pe mai s.td. Booth se call kiya karta tha, uske kuch paise mujh pe karj the ek din achanak mujhe waha se jana pad gya us waqt mujh pe paise nahi the jo mai use deta use bina bataye mai chala aaya uske paise mujhpe bakaya rah gaye, mai waha ja v nahi sakta aur vo booth hai v k nahi malum nahi mai kya karu k uska karz maaf ho jaye plz. Mai bahut dino se paresan hu uska karz ada karne k liye

Answer:

Id: 23216
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Salam, PIA co. ka employee hun, Hamary salary se Providant fund kata jata hai,1) retirement k waqt jitna jama hota hai company uska double daty hai, 2) service k doran agar ye fund as laon nikalen tu phir ye installment per har mah mark-up k sath wapis liya jata hai. Q#1, kiya provident fund loan mark-up (agar 1000/month qist dan tu 450 mark up k hai jo pia ko free mai danay hungay) ke sath return karna jaiz hai yani kiya ye sood danay walon main tu ni hai? Q#2, retirement k time jo dugna provident fund milay ga wo halal hai?

Answer:

Id: 24462
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Sir mai aik company mai job karta ho jab hum out of city jaty hai to hamari kiye hotel per night room allowance limit 1500 hai aur daily allowance 600 hai total 2100 ata hai agar hum is mai hotel room 1000 ka le aur 500 qpny liye bachat kare aur bill 1500 ka banaye aur company b accept kar leti hai to kya ye jaoz hai.??

Answer:

Id: 25274
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Me ik electric shop py kam karta hun . material dukan daar ka hota .he or labor fee meri hoti he .pochna ye he k dukan dar sy sasti chez ly k customer ko mhengi damo bech skta hun .jasy ik bulb 150 rs ka he me 200 hundred ka bta k lga du or labor aleda lon jaiz he ?

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!