Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Muamlaat / Transactions ( 72 Questions)


Id: 15454
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia ma Israel ki freelance ki website per kaam kar sakta hu?

Answer: Aqa Sistani, Israeili Software kay istemaal ko jaiz qarar nahi detay.Agar American Software aisi company ka hay jis kay munafay(profit) main say aik hissa Israel ki madad karnay kay liye makhsoos hay to iski khareed-o-farokht bhi jaiz nahi hay. according to ayatullah sistani ,there is no permission as to dealing with israeli products of companies which are known to be supporting israel in effective way. Wo tamaam products jin ka profit israel ko jata ho aisee products use karna haram hay. Yeh hukum sirf israeli products key saath hay yahoodi products key saath nahi means agar yahoodi products ka profit israel ko ja raha hay to use karna haram hay aur agar profit nahi pohonch raha to haram nahi hay. En cheezon key baray mein tehqeeq karna wajib nahi hay laikin agar yaqeen ho keh yeh israel ko profit dey rahi hein to phir use karna jayez nahi hay. Ref: Aytullah Seestani (d.b.) ne un companies ki cheezon k khareedne ko mana kiya he jin k bare main yaqeen ho k wo companies apne profit ka ek hissa israel ki madad k liay makhsoos kiya he. (ref:Mujtahid se puchhe gaey sawalat part#1, Mafhoom e page#67), (ref:sistani.org ,english, topic buying & selling) , Istiftaat A.Sistani [Updated on 17-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15583
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam n Allaikum sir kabootar palnaa kaisaa hy aor agrr unchi uran waaly hun ko rkh skty hain aor aggr us pr shart na rkhi jaaye srf attraction waaly kheel ki neat kyliay prize rkha jayee to yaih amal drust hy?

Answer: Kabootar paalna jaiz hai. or ye bhi shart hi kehlaye gi or shart ye hai haarne wala jeetne wale ko kuch raqam de, or ye jaiz nahin hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #3, sawaal #169, pg #75. + Jadeed Fiqhi Masail, Ayatullah, Sistani(d.b) Maslah #488, pg #259). [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15694
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat umar nai Quran pak ke azmat ke bare ma kay farmeya

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain ). [Updated on 08-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15698
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aik ummati syed bacha adopt kr sakty hain beta ya beti

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15702
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya me apni wife ke sath YouTube par Kam karsakta Hun videos banasakta Hun jayse vlogs waghera ??

Answer: Agar video ya tasweer men khatoon hijab ke sath ho or haram me perhny ka khoof nah ho, isi tarah fitna peda hony ka andisha bhi nah ho to jaiz hay. Lekin in tamaam soorton ke baghair jaiz nahin hai. Note:Jo kaam kia jaaraha ho wo kaam bhe jaaiz ho or us kaam se society me koi fitna ,buraaie ki nasharoishaaat na horahe ho. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalat, Part #4, pg #66, sawal #129). [Updated on 07-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15728
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Diqqle game khalny k bad payment kaha say hasil kary

Answer: Is web site per fiqhe Yani halaal o haraam ke bare be or Islamic history or malomaat qurani ,dua wagira ke jawabaat die jaate hain ,aap kise game ke khelne ke jaaiz hone or haraam hone ke baare me sawaal karsakte hay , [Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15823
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Khareda hua mall wapis ya tabdel krna sunat e nabvi ha ya hadess

Answer: Hadees hai. (Ref: Masail-us-sharaiya tarjum wasail-us-shia, part #12, baab #3, pg #233,234). [Updated on 06-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15878
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager kisi online Business me invest krna hu aur company apko nuqasan mea sharik na kry aur sirf benefit de Tu keya ye business halal hai?

Answer: Jee nahin, Yeh jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, pg #473,474). [Updated on 20-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15903
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia ladies YouTube chnaeel bana sakti hai jis mein cooking videos hn aur face show na karain lkin routine share kry TU

Answer: Agar video ya tasweer men khatoon ka chehra (face) per wajib miqdaar me perdah moujood ho or wo khatoon Apne face per makap nahe ki hoe ho kyu ke makap karne ke baad face chupana zarori hay namehram se or kisi haram me perhny ka khoof bhi nah ho, isi tarah fitna peda hony ka andisha bhi nah ho to jaiz hay. Lekin in tamaam soorton ke baghair jaiz nahin hai. (Note: Jo kaam kia jaaraha ho wo kaam bhe jaaiz ho or us kaam se society me koi fitna, buraaie ki nashar o ishaaat bhi na ho rahi ho). 2: Video me aisi baatain ki jaa saktie hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota .or agar gunah mai parhne ka khauf ho agarche ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho to jaiz nahin hay isi tarah gair akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. 3: Aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khauf ho to is surat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127,129 pg #66. + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510). [Updated on 27-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15946
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai supplier hu ek mai jis company mai maal deta hu vha ka salesman mujhse apna commission leta hai or uske malik ko pta nahi hai ke voh mujhse commission leta hai aap pls btay mere liye voh commission dena sahi hai ya galat?

Answer: Agar salesman, maalik ko bataye baghair is tarah ka amal kar raha hai to salesman ke liye ye jaiz nahin hay Q ke salesman us maalik ki taraf se wakeel hai or wakeel par wajib hay ke jo kuch us ke hath me ho ya jo kuch us ke hath me aaye wo maalik ke supurd kare. Han, aap (supplier) ka use commission dena jaiz hai. albatta agar salesman, maalik ko bataye or maalik is par raazi bhi ho to salesman ke liye commission lena jaiz hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part # 2, Edition 1443 hij, Mafhoom e Maslah #1302). [Updated on 04-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!